Focus keyword kaise choose kare 2023

Agar ap ka focus keyword he sahi nahi to ap ka blog kabi be rank nahi kare ga. Keu kay focus keyword buhat zaroori hota ha ek article mein. Lakin buhat sary logo ko nahi pata kay focus keyword kaisa choose karta ha. Is leya ajj mein ap ko batu ga kay ap Focus keyword kaise choose kare gay.

Focus keyword kaise choose kare

SEO mein sab say important part keyword research ha. Jis par already mein nay article likh ha. Ap wo ja kay par saktay ho. Keyword research par mere focus kafi ziada ha jab say seo start ki ha.

Keu kay keyword research he wo way ha jis say ap new blog ko easily rank karwa sakta ho. Lakin buhat sary newbies apna focus keyword he select nahi kar paty. Keu kay us ko nahi pata kay kon kon say matrics deakhny hotay ha. Focus keyword select karnay say pehle.

Jis ko to ya matrics pata ha wo keyword sahi select kar layta ha. Lakin buhat sary newbies ko nahi pata is leya us kay articles nahi rank karte. Agar ap be un mein say ek ho. To is article ko lazmi parna, keu kay ap is say kafi kuch seakho gay.

Focus keyword kaise choose kare

Ab mein ap ko kuch cheezay batane laga ho, Jis ko ap nay lazmi deakhna ha. Is say pehle ap koi be keyword select karo. Keu kay ya jo mera method ha keyword ko select karne ka ya 100% proof method ha. Ap kay buhat kam aye ga. 

Lakin ya jo method ha is parred sab say zaroori cheez website ka authority ha. Keu kay keyword ka competition website ki authority kay base par he ap select karte ho. Is leya mein 3 tarah ki possibilities lo ga. 

Ek wo jis mein ap ki website new ha ya DA 10 tak ha. Dosri jis mein ap ki site ka DA 20 say 30 tak ha. Or last mein wo jis website ka DA 40 say ziada ha. 

Step 1: Long Tail keyword 

Sab say pehle cheez jo ap kay keyword mein ho wo ha ap ka keyword long tail ho. Agar ap ki website ka DA 10 say kam ha, Keu kay long tail keywords par competition ap ko kam mile ga. Or ap apny keywords ko buhat asani say rank karwa sakta ho.

Ap kay pass 2 option ha ya to ap keywords high competition select karo. Or keyword ko rank karwane mein apna time lagow or paisa lagow. Jis mein sirf paisa he nahi time be buhat lagta ha. Ya dosra option ya ha kay ap low competition keywords utho jin ko ap begir backlinks kay rank karwa sako. 

G bagir backlinks kay website ko rank ap karwa sakta ho. Lakin us kay leya ap ko focus keyword sahi choose kea ho. Start mein koshish karo kay keyword 5 say ziada word ka use karo. 

Or jaisa jaisa ap ki website ka DA increase hota jaye ap apny keyword ki lenght kam karte jana. 

Step 2: Inverted commas

Dosra step ha jo be ap nay long tail keyword select kea ha us ka start or last mein inverted commas lagow or google mein search karo. Jaisa “Focus keyword kaise choose kare” us kay bad iagar keyword ka result less than 99 aye. 

To ap kay leya wo keyword ek golden keyword ha is ko ap easily rank karwa sakta ho. inverted commas say jo be results ate ha un ka matlab hota ha X amount of website nay keyword ko apny article mein use kea ha. Or un websites ka main keyword ya nahi jis ko ap target karna cahtay ho. 

Or mere personal experience say agar apko koi be aisa keyword mil jata ha. Jis ka inverted commas 99 say kam aye to us article ko ap buhat asani say rank karwa sakta ho. Agar ap sirf keyword ka intent he pora kar do. 

Step 3: Check Allintitle

Tisri cheez jo ap nay apny keyword mein deakhna ha wo ha allintitle. Ab allintitle be inverted commas ki tarah he google ka ek advance search feature ha. 

Ap nay allintitle ko apny keyword kay start mein “allintitle:how to make money online” aisa likh kar search karna ha. Is say ap google ko batatay ho jis website kay title mein ap ka keyword ata ha us ki list ap ko day. Ap title mein hameesha koi be aise website nahi jo apna keyword use na kare.

Is leya ap ko is say ek idea ho jata ha competition ka. Or ap ko competition kay numbers mil jate ha. or ap ki targeted thori se behtar ho jati ha. Allintitle less then 10 hona chahy, yaha par ap ko ek baat bata don.

Agar ap nay wo keyword pick kea ha jis ka inverted commas less then 99 ho tab allintitle kam he hota ha. 

Step 4: Search Volume and CPC

Last cheez jo ap nay keyword select karne say pehle deakhni ha wo ha search volume or CPC. Yea, ap kay mind mein question aya ho ga. Kay volume or CPC sab say pehle deakhty ha ya banda akhir mein deakhny ke baat kar raha ha. 

G bikul search volume or CPC last mein he deakhna chahy. Keu kay mere hisab say keyword ka competition matter karta ha search volume nahi. 

Keu kay agar mein koi be ek long tail keyword agar pick karta ho. Jis ka search volume 0 be ho lakin agar us ka first 3 matrics satisfying ha to mein keyword ko pick kar kay article likh don ga. Keu kay 0 search volume wale keyword par to article rank kare ga. 

Lakin ahista ahista wo article multiple or LSI keywords par rank karna start kare ga. Jis say meri website ko traffic mile ga. Is leya ap search volume deakh lo agar ap kay first 3 matrics jo mein nay kaha ha us hisab say ha. Or keyword ka kuch search volume be hota ha. 

To wo ap kay leya ek plus point ha, ap us keyword ko lazmi target karna. 

Conclusion

Ya 4 cheezay mein apny keyword mein deakhta ho is key alawa koshish karo. Long tail keywords wo utho jis ki ziada variations bane. Keu kay us say chances buhat ziada hain kay ap ka articles thousands of keywords par rank kare ga. 

Mein umeed karta ho kay ap ko ya article Focus keyword kaise choose kare passand aya ho ga. 

Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA DigitalHamza

1 thought on “Focus keyword kaise choose kare 2023”

  1. Pingback: keyword research ki galtiyan 2023 [ kabi na Karna ]

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top