Agar ap kay mind main be yahi sawal ha kay ghar baithe paise kaise kamaye. To tension nahi layni is article main ap ko yahi guide milay ge. Agar ap nay is article ko pora par leya.

To is article kay alawa ap ko kuch be zaroorat nahi pary gay is topic par information parny ke. Keu is guide main ap ko main full detailed information don ga kay kon kon say ways hain. Online paisa kamane kay.
Ghar par ray kay paisa kamane ka sab say asaan tarika ha internet. Keu kay ap ko is kay leya kahi jane ki zaruurat nahi.
Ek laptop ya computer ho us kay sath sirf internet connection ho bas. Phir ap easily ghar baithe paisa kama sakta ho. Is article main ap ko me kuch aisa ways batu ga.
Jo ap use kar kay paisa kama sakta ho. Jaisa main kama raha ho. Buhat sary tarika ha online paisa kamane kay jaisa. Jin main say kuch ap ko mai is article main ap ko batu ga.
Ghar baithe paise kamane kay tarikay
- Freelancing
- blogging
- Youtube channel
- Affiliate marketing
- Online teaching
- E-commerce & Dropshipping
- Domain Flipping
Ya kuch paisa kamane kay tarika ha jin ko use kar kay ap online internet say pasia kama sakta ho. Ab main apko ya batata ho kay in sab ways ko use kaisa karna ha. In kay leya skills kon kon se seakhni ha keu kay skills buhat zarrori ha. Without skills ap kuch nahi kar sakta.
1. Freelancing
Sab say pehla or sab say best method freelancing ha online pasia kamane ka. keu kay freelancing seakhny say lay kar paisa kamane tak ap ko zaida time nahi lagata ha.

Freelancing main ap nay Kuch skills seakhny ha us kay bad ap apna kam start kar dayta ho.
Freelancing start karne kay 3 steps ha.
- Learn skills
- Build Portfolio
- Start freelancing
Ya main 3 steps ha jin kay bad ap freelancing start kar sakta ho. Main ap ko detail main batu ga kay ya steps main ap nay kea kea karna ha.
Learn Skills ( Skills seakhna )
Sab say pehla step ha skills seakhna. Ab ap bolo gay kay kon se skills seakhy or kaisa seakha. Sab say pehle ap ko main ya bata dayta ho kay ap skills kaisa seakho gay.
Basically, skills seakhny kay do tarika ha ek online or dorsa offline.
Agar ap nay online skills seakhni ha to is main ap kay pass 2 options ha ek paid or dosra free. Agar ap nay free main seakhni ha skills to sab say best options ap kay pass youtube or google ha.
Ap ko youtube or google par buhat sare youtubers mil jaye gay jo ap ko seakhy gay. Jo be skills seakhni ha us kay related ap youtube par search karo. Ap ko buhat sary achy resources mil jaye ga.
Ap baat karte ha paid ki. Paid main simple ya ha kay jo be course karna ha us kay related koi be course lay lo. Keu kay course main ap ko har cheez ek he jagha par mil jata ha.
lakin course layny say pehle ap nay mentor ya jo ap ko course seakhya ga. Us ka background deakh layna ha. Aisa na ho kay jis bande ka ap course kar rahy ho. us nay Khud kuch nahi kea just ap ko sekha raha ha.
Ab ray jati ha skills kay kon kon se skills seakhni chahy. Main agy in article main kuch skills add karne wala ho. Wo ap thora sa agy ja kay parh sakta ho.
Build Portfolio ( Portfolio Banana )
Skills seakhny kay bad jo agla process hota ha wo hota ha portfolio build karna. Portfolio hota ha kay ap nay previous kon kon sa kam kea ha.
Portfolio bana is leya zaroori ha kay ap clients ko Dekha sakho orders kay leya. Let’s suppose ap website designing ke service dayta ho. or ap ko agar clients kahta ha kay apna portfolio deakho.
Agar ap kay pass na howa to ap ka clint gya. wo ap ko kam nahi day ga is leya zaroori ha ap kay pass portfolio hona. Portfolio bana buhat easy process ha.
Ap ko main ek way batata ho jis ko ap use kar kay apna portfolio build kar sakta ho. AP nay karna kea ha facebook par jana ha or apni skills kay related jo br groups ha un ko join karo.
Us kay bad ap un groups main say client lo or un ka ap free main kam karo. Keu kay free main kam karne say ap ko portfolio mil jaye ga.
Ya phir kisi apny area main mujud freelancer kay sath lag jow or us kay kam karo free main ya kuch paisa lay lo. Is say ap ko ek acha khasa portfolio mil jaye ga.
Start freelancing
Portfolio bananay kay bad ap ka agla step ha freelancing start karna. Ab main ap ko ya batata ho kay ap freelancing kaisa kar sakta ho. Ab main jab be freelancing kar kay clients ki baat karta ho.
Buhat sare log samajty ha kay bus ap freelancing platform he use kar kay clients lay sakta ho. Jo kay sahi nahi to is artilce main ap ko main ya be batu ga.
Kay ap clinets kaisa lay sakta ho.
Ways to get clients
- Local Clients
- Freelancing Plateform
- Social media marketing
Ya kuch ways ha jo ap use kar sakta ho clinets hasal karne kay leya. Ab ap ko main ya batata ho kay in ways to ap nay use kaisa karna ha.
Local Clients
Sab say starting main ap clints local area say lay sakta ho. Let’s suppose ap kay pass graphic designing ki skills ha. Ap kea karo apny Aas pass deakho jo be business ha.
Un kay pass jow or apny bare main batu kay ap kea kam kar sakta ho. Or un kay leya ap kaisa faida mand ho. Or sab say best cheez ap un ko batu kay ap us ka business kaisa increase karo gay.
Is kay alawa ap kisi local bande ko pakro jo ap ki skills main kam kar raha ho. Us ko kam kar kay do kam paiso main. Wo ap say kam karwaye ga.
Freelancing Platforms
Local clients to ap ko mily gay ya nahi mily gay wo ap par ha. Lakin ap ko freelancing platform says clients mily gay wo be bhar bhar kay. Keu kay ap un plateform par kam karo gay.
Jaha par wo log ha jin ko kam chahy. Buhat sare platforms ha jin say ap start lay sakta ho.
List of freelancing Platforms
- Fiverr
- Upwork
- Guru
- Freelancer
- Peopleperhour
- Legit
- Workchest
Ya kuch most popular freelancing platforms ha jin par ap kam kar sakta ho. Ab main ap ko batata ho kay ap in main say kon say plateform say start kar sakta ho.
Agar ap beignerr ha to main ap ko fiverr recommed karo ga. keu kay fiverr main ap ko ziada kuch mehnat nahi karni parti. Just ek he dafa gigs bano or jab ap ki gigs rank ho jati ha.
Ap ko orders ana start ho jaty ha. Lakin ap ko suggest ya karo ga kay ek he plataeform par kam na kare ga. Koshish karo jitny use kar sakta ho karo .
Keu kay us say ap ko clients milny kay imkan ziada hota ha.
Social media marketing
Freelancing platforms kay sath sath ap use kar sakta ho social media’s ko. Ab social media say clients layny kay 2 options ha ek ha free or dosra ha paid.
Free main agar ap nay clients layny ha to ap ko content banana pary ga apni industry kay related. Jaisa meri industry ha digital marketing or main content upload karta ho digital marketing related.
To kea hota ha jab mera content koi be business owner deakhta ha. O agar us ko services cahay to wo muj say rabta kare ga. Or main phir us say baat wagira ka kay project lay lo ga.
Ya ha, free method secound method ha paid. Is main ap nay social media par ads chalany ha. Is say ap ko buhat jaldi or asani say clinets mil jaye gay.
Bas ap ko apna ad attractive bananaa pary ga. Keu kay jab ap ka ad attractive ho ga tab ap ko clients mily gay.
Ya kuch ways ha ap baat karte ha last point ki ya jo point ha ya sab say best point ha.
Build Your Own Brand
Freelancing main branding buhat important part ha. Jaisa mera asal name Hamza asghar ha. Lakin mera brand name digital hamza ha. Har social media par mera yahi username ha.
Is say ho ga kea kay mera name kay sath jab main kisi kay sath kam karo ga. Or apny freelancing career ko ek brand name say lay kar chalo ga. To ahista ahista log mujy is name say janana shuru kar day gay.
Jis say ho ga kea kay mera ek brand build ho jaye ga. abi be mujy buhat ziada log janty ha or main buhat ziada students ko parha chuka ho.
Isi leya mera name ki kuch brand value ha. Mere jaisa apna ek unique brand name bano or sab say zaroori baat us name ka check kar layna kay social media par username usi name say ho.
Types of Usernames
Jab ap nay usernmaes select karne ha to un ko ap ko kuch cheezo ka dehan rakhna ha. keu kay username jab ap nay select karna ha to ap bar bar us ko change nahi karna.
Usernames hota ha 2 tarah kay
- Personal Name
- Brand Name
Sab say pehla username ha personal name jaisa kay mera name “Hamza Asghar’ ha. Agar main apna yahi name lay kar aghy chalta. To mera personal name he brand name ban jana tha.
For example Hisham Sarwar, Qasim ali shah, and Rehan Allah Wala. Ya kuch personal name brands ha pakistan main. Agar ap internet user karte ho gay to ap in ko janta ho gay.
Dosri kisam kay name hota ha brand name in names main ap apny name ki bajye kisi be name ko use karte ho. Wo ap ka kuch be ho sakta ha jaisa mera name ha Digitalhamza.
Is main digital represent karta ha online world ko or hamza mujy. Is say digital hamza bana ha. Lakin username select karne say pehle ap nay kuch cheezay deakhni ha. jaisa kay ap ki niche kea ha ap nay kon se country main ya region main kam karna ha.
Phir usi hisab say ap apna leya name decide kar sakta ho. or koshish karo ap kay username main ap ka koi be regional name aye. keu kay wo ap ki audience say sahi connect kare ga.
Best skills for freelancing
Ab time ha ap ko kuch high demanding or ziada earning wali skills batany ka. lakin us say pehle ap ko main ek baat batana chahta ho.
Wo ya ha kay kabi be ap nay us feild main ya kisi be us skills ki taraf nahi jana jis main ap ko maza na aye. keu kay phir kam main maza nahi aya ga wo kam saza ban jaye ga.
List of top freelancing skills
- SEO
- Social media marketing
- PPC & SEM
- Email marketing
- Graphic Designing
- Video editing
- Article writing
- Copywriting
- WordPress development
- Video Animation
- Voice over
- Apps development
- E-commerce Assistant
Ya 13 skills ha jo main nay finalize ki ha. keu kay ya sa high demand or evergreen services ha. In ka ajj be dour ha kal be rahy ga. Itni asani say khatam nahi ho ga. ab main ap ko ek ek kar kay in skills ka introduction dayta ho.
SEO ( Search Engine Optimization )
SEO ek sab say best skills ha jin ko agar ap nay seakh leya to ap online kuch be free main kar sakta ho. Jaisa kay Free clients, Students, sales and traffic.
SEO hota ha apni website to us tarah optimize karna kay ap ki website search engine par rank kare. Search engine ek algorithm ha jo pory internet par mojood sari information ko akhata kar raha ha ek he jagha.
Pory internet ka sab say barha search engine Google ha. Un kay bad bing, yahoo, Duck duck go, Baidu and Ask.
Social media marketing ( SMM )
Social media marketing main ap nay seakhna ha har social media platform ko like youtube, Facebook, Instagram, Twitter, Linkedin.
SMM is one of the finest skill in digital marketing. keu kay ap social media marketing asani say seakh sakta ho seo kau mukabla main.
keu kay seo seakhna mushkil ha lakin social media marketing seakhna asan ha. or social media marketing main practice karna be buhat asan ha.
Lakin is main ap ko main ya kaho ga kay jab tak ap sahi tarah say ya nahi seakh layty. SMM kaisa kam karta ha ap apny paisa na lagy. Keu kay social media marketing main ap sab say ziada paid method say karo ga.
Lakin paid kay sath sath ap nay ya be seakhna ha. kay social media marketing free main kaisa hoti ha. Keu kay paid kay sath sath agar ap social media ki seo ko be samajh layty ho.
To ap ki social media marketing ki skill advance level par ho jaye ge.
PPC ( Pay per Click ) & SEM ( Search engine Marketing )
PPC ya SEM be social media marketing ki tarah he high demanding skill ha. Is main ap nay seakhna ha kay search engine par ads kaisa chalane ha. Jaisa google par agar ap nay ads chahlny ha to ap google adwords use karte ho.
Isi tarah har seach engine kay apny ads run karny kay leya plateforms ha. Ap ko sirf un platforms ko seakna ha or is ko sahi tarah say implement karna ha.
Lakin agar ap nay SEM kay sath sath SEO seakh le to ap ko takreeban Digital marketing a jaye ge. Keu kay is kay alwa sirf Social media marketing he ray jaye ge jo ap ko nahi ati ho gi.
Email marketing
Email marketing is the fun part of digital marketing. keu kay email marketing karna asan ha or ap ko buhat high results dayta ha. Agar ap nay email marketing start karni ha to apko kuch tools seakhny ha.
Especially email marketing main ap nay funnel building seakhni ha. Keu kay funnels building ap ki email marketing ki skills ko next level lay kar jaye ge.
Emails ap buhat ziada ways say collect kar sakta ho. Jaisa apni site say youtube say, Facebook ads say. Email marketing is the most powerful way.
Digital marketing main me sab say ziada SEO or email marketing ko passand karta ho. keu kay in dono ka combination ap kay business ko multiple X grows kar sakta ha.
Graphic Designing
Honestly jab be main kisi be students ya banda say baat karta ho. Jab main un say pocho kay kon se skills ap ko ziada passand ha to sab say ziada log Graphic designing he kahta ha.
Hona be chahay Graphic designing say pyar. Lakin graphic designer kabi be kisi ko deakh kar nahi banan. Jab tak ap ka khud dill na kare.
Keu kay Graphic designing main ap ko creative hona Pary ga. keu kay creative mind jis kay deamagh main graphic ideas or designs ho. Wo he graphic designing main excel kar sakta ha.
Kuch newbies Canva say edit kar kay khud ko pro graphic designers samajhty. Bro just listen agar graphic designer bana ha to apny demagh say designs banana seakho.
Jab ap apny demagh say designs banan start kar gay tab ap graphic designer ban jow gay.
Video Editing
Video editing wo skill ha jis to ap agar sahi tarah say seakh jaty ho to ap buhat jaldi freelancing say paisa kama sakta ho. Keu kay video industry buhat fast grow kar rahi ha.
Isi leya buhat sary youtuber of video content creators video editors ko hire karte ha. Keu ko jobs par or kuch video editors as freelancers kam karte ha.
Or jab muj say koi be puchta ha kay freelancer banana ha kon se skills seakho. Tab main logo ko video editing or article writing kahta ho.
Keu kay ya do aise skills ha jo ap buhat jaldi seakh kay paisa kama sakta ho. Agar Video editing seakhni ha to youtube sab say best way ha. or main ap ko GFXmentor Youtube channel recommend karo ga.
Article Writing
Article writing video editing jaise skills ha. Is main ap ko sab say zaroori seakhny wali cheez English ha. Agar ap ko English ati ha to ap buhat jaldi article writing seakh sakta ho.
Bas ap ko seakhna kea ha kay title, descriptions, outlines, intro, and outro kis tarah likhna ha.
Keu kay article writing main kuch he parameters ha. or ap ko koi be software seakhny ki zaroorat nahi. Just English or kuch techniques.
lakin agar ap ko english nah ati tab be tesnion ki baat nahi. Ap apni regional language main be article writing ki services day sakta ho. Par farak ya ho ga kay ap ziada paisa nahi kama saky gay.
keu kay ap ko ziada clients English language kay mily gay, or bro kabi be tools wagira use nahi karne article likhny kay leya jaisa rewriter, AI tools. keu kay is say ap long term nahi kam kar sakta.
Copywriting
Copywriting wo skills ha jis main ap ko writing ki ziada zaroorat nahi hoti. Ya ek writing method ha jis main ap writing ya kuch sentences likhty ho advertisement kay leya.
jo landing pages bante ha us main jo be writinig hoti ha wo aisa he koi nahi karta. Wo words jo woha likhy hota ha wo soch samajh kay likhy jata ha.
Is main buhat ziada formats ha jaisa sales copy, email copy, PR copywriting or be buhat sary formats ha? Ap ko Copy writing main master hony kay leya ap ko thora sa words kay sath khalna ana chahy.
WordPress Development
Ya skill buhat ziada high demanding or high-income skills ha. lakin sirf ap ko development nahi desiging be ani chahy.
WordPress development hota ha ap ko ek design deya gya ap nay us kay mutabik site teyar kar de. or wordpress designing hota ha kay ap ko agar design na be deya jaye.
Tab be ap apny hisab say site design kar day. WordPress ek open source CMS ( content management system ). WordPress 100% free ha. Lakin wordpress use karne kay leya ap ko ek server chahy.
Or us kay leya ap hosting buy karte ho. Hosting ek type ka sever hota ha jo buhat ziada companies sale karti ha. Jaisa Namecheap, Hostinger, A2 Hosting, and SiteGround.
Video Animation
Animation ka kareez abi buhat ziada ha har koi animation seakhna chaha raha ha. Animation ko ap buhat verity main use kar sakta ho. Jaisa bacho kay leya cartoons banan main.
Character design karne main or maze ke baat buhat ziada youtube channels ha. Jo videos main animation use karte ha. Animation agar ap nay seakhna ha.
To ap buhat achi seakh sakta ha youtube say. keu kay youtube par ap ko buhat ziada achy courses mil jaye gay.
Jo ap learn kar kay acha animator ban sakta ha. Or ap animation ko use kar kay freelancing be kar sakta ho.
Voice Over
Voice over koi skill nahi bas iss main ap ko sirf ek mic chahay acha or sirf voice editing skills chahy. Phir ap voice over ki services online day sakta ho.
Ap ko buhat sary log mil jaye gay har plateform par jo voice over kay related services day rahy ha. Script be ap ko wohi banda day ga jis nay ap ki services layni ha.
Voice over ki services ko ap apna long term carrer bana sakta ho. Voice over hota kea ha kay kisi be cracter ko ya kisi be video main voice dayna. Ap nay buhat sari movies deakhi ho gi.
Jo bani kisi or zuban main hoti ha lakin us ko bad main dubbed ki jata ha. Jaisa Hollywood movies ko ap urdu ya hindi main deakhty ho.
Is main ap ko jitni ziada zubany aye ge. Ap apni skill ko utna he agy lay kay jow gay. Or languages ap buhat easy youtube wagira say seakh sakta ho.
Apps Development
Apps development ap ko honestly bolo ga kay koi be asan skill nahi is main ap ko buhat ziada mehnat karni pary ge.
keu kay apps development main ap ko language seakhni pary gay. Or ya jo language ha wo ap ko buhat ziada time or mehnat laga kay seakhna pary ga.
Apps development seakhny say pehle ap ko ya deakhna pary ga kay ap nay kon se apps develop karni ha. Right now in 2023 sab say bary 2 OS use ho rahy ha smartphones main.
Ek ha android or dosra ha IOS android har kisi snartphone main use hota ha jaisa samsung, Infinix, oppo, vivo, Techno and many more. OR IOS sirf Iphones main use hota ha.
Sab say pehle ap ko OS use karna ha us kay bad coding start karni ha. Keu kay 2no ki coding languages diffrent ha. Lakin ap agar apps development seakh layty ho.
To buhat ziada paisa kama sakta ho. Freelancing be kar sakta ho or jobs be ap ko high salary mily gay.
E-commerce Assistant / Amazon VA
Ecommerce assistant ya amzaon va same he cheez ha lakin is main ap ko ecommerce plateform seakhna ha. Jaisa amazon, daraz, ebay ya or koi.
Is main jab ap nay koi be e-commerce platform seakh layna ha us kay bad ap nay logo kay leya us ki services dayni ha. or sirf services main ap nay us kay store manage karne ha.
Jaisa stores par product listing karna, products optimize karna, ads lagana wagira. Agar ap 2022 main internet use karte ho to ap ko pata ha amzaon ka Kraze aya tha.
Logo ko pata he nahi amazon ha kea or is par kam kaisa karna ha. Sirf ya sun leya ha kay amazon par paisa buhat ha. Sab sirf yahi soch ray ha kay amazon la course kar kay main paisa kamama lo ga.
Lakin agar ap nay paisa kamana ha to amazon he nahi pori e-commerce industry seakho sirf amazon par sale karna na seakho. Baqi plateform be seakho kay ebay, daraz ya apny store par sale kaisa karna ha.
Ya tha sab say pehla way paisa kamana ka ab baat karte ha next way ki.
2. Blogging
Freelancing kay bad bd blogging dosra way ha online paisa kamane ka. Lakin yaha ap ko ek baat bata don jo ap ko inspire kare gi blogging start karny main. Keu kay buhat sare log blogging say darte ha.

Freelancing sab say fast way ha earning karne ka. Lakin sastain way nahi ha paisa kamane ka. Keu kay freelancing main ap ka kam ha client base.
Jitna ap ko client mile gay utnay paisa ap kamow gay. Ya paisa har month upar niche ja sakta ha. Lakin blogging main aisa nahi ha. Blogging slow way ha paisa kamane ka.
Lakin blogging ek statain way ha. Agar blogging main ap ki income start ho gai ha. To ap har month us kay jitnay he paisa kamow gay. Jaisa lets suppose agar ap ki site 100$ per month ap ko day rahi ha.
To har month isi kay agy pichy rahy gay jaisa kabi 90$ kabi 95$. Lakin jab be ho ga is say ziada he ho ga. Or blogging mian website long term kay leya rank rehti ha.
Or website ya blog ta derank hoty ha jab ap koi iss par aise type ki technique apply karte ho. Jo google passand nahi karta. Ab baat karte ha ap blogging start kaisa karo gay. Blogging kay kuch steps ha freelancing ki tarah.
Blogging shuru karnay kay steps:
- Find Niche
- Buy hosting and Domain
- Setup website
- Basic SEO
- Find Profitable keywords
- Write Quality articles on it
- Monetize your site
Ya 7 steps ha blogging kay ab main ap ko ek ek kar kay batata ho kay karna kea ha is main.
Find Niche (Apny Blog ka topic find Karna)
Niche hota ha ap kay blog ka seed topic jis kay irdh kirdah ap content likhty ho. Jaisa digital hamza main ap ko digital marketing and make money online kay related articles milay gay.
Isi tarah ap nay koi be ek profitable topic find karna ha. Ab topic ap kuch be rakh sakta ho jis main ap ko knowldge ho. Lakin blog ka topic select karne say pehle ap nay kuch cheezo ka khayal rakhna ha.
Niche kaisa select kare
Niche select karne say pehlay ap nay 3 cheezay deakhni ha.
- Search Volume
- Competition
- CPC
Jisa sabs say pehele cheez volume ha, jo be ap nay topic select ke ha us par ek acha khasa search volume ho. Ya na ho kay ap ki niche ka search volume ap ko pata nahi.
Or ap is par blog banana ka soch rahy ho. Dosri cheez ha kay ap ki niche main competition kitna ha. Ya sab say zaroori cheez ha. Keu kay agar apki niche main competition buhat ziada ha.
To ap blog banana lo gay lakin wo rank nahi kare ga. Blog bananan buhat bari baat nahi us blog ko rank karwana main maksad ha. Is leya competetion zaroor check karna ha.
Us kay bad last cheez jo ha wo ha CPC ( Cost Per Click ). CPC be matter karta ha lakin ziada nahi keu kay CPC say ap ko ek andaza ho ga kay ap kitna paisa kamow gay apni niche say.
Ya 3 ha jo ap nay niche select karne say pehle deakhni ha. Or ek halka sa ya be deakh layna ha kay ap ki niche main monetization kay method kon kon say apply ho sakta ha.
Buy Domain and Hosting
Domain or hosting ap ki site ki sab say zaroori cheez ha. Keu kay without domain and hosting ap apna blog nahi start kar sakta.
Domain hota ha ap ki website ka name jis kay sath koi be extension hota ha. Jaisa meri site ka domian ha”digitalhamza.com”. Digitalhamza meri site ka name ha or .com sath extension hota ha.
Domain 2 tarah ki hoti ha ek High TLD dosri Country TLD. High TLD hota ha .com, .co, .xyz, .org, .net or be buhat ha. Or country-level domain hota ha. Jin main extension kisi country kay hota ha.
Jaisa pakistan ki domain mai ata ha .pk, Turkey main .tk, UK main .uk isi tarah har country ka domain ha. Ap nay deakhna ha kay kon sa domain ap nay layna ha.
Country level ya high TLD, dono kay apna fiada ha dono kay apna nuksan ha to ap nay us hisab say deakh layna ha. Ab baat karte ha kay hosting kea ha.
Hosting ek online server hota ha jo ap use karte ho apni website ko 24/7 live rakhnay kay leya.
Jaisa is site mai main use karta ho Namecheap ki hosting ko. Or us kay alawa meri ziada tar sites par hostinger ki hosting ha. Agar ap nay lani hoi to ya jo banner ap ko show jo raha ha is par ap click kar kay lay sakta ho.
Setup Website & Customize
Domain or hosting laynay kay bad ap ka agla step hota ha un ko combine kar kay website setup karna phir us kay bad us ko optimize karna. Website ko bante time ap wordpress ka use kar sakta ho.
WordPress ek open source CMS jo kay 70% websites main use hota ha. Jo google main ha jab ap ki site setup ho jaye us kay ap agla process ata ha customization.
Ab customization main sab say bari cheez jo ha wo ha wordpress theme. Agar ap kay pass paisa ha to ap ek acha wordpress theme buy kar sakta ho.
Lakin agar ap kay pass paisa nahi ha to ap free wala theme be use kar sakta ho. Main ap ko paid aor free wale kuch themes bataata dayta ho.
Best paid wordpress themes
- Astra
- Genesis Framework
- Devi
- Generate Press
- Theme Ultra
Best Free wordpress themes
- Astra
- Generate Press
- Type
- fairy
- Wp Ocean
Ya ha kuch free or paid themes jin ko ap use kar sakta ho. Lakin in kay alawa agar ap ko koi be theme passand ha. To ap wo be use kar sakta ho.
Basic SEO
SEO jo kay sab say zaroori skill ha blogging mai. Keu kay SEO ko use kar kay ap apni website ko search engine par rank karwate ho. Is leya jab website ready ho jati ha?
To agla step hota ha us ki SEO karna. Ap basic seo main kuch cheezay ati ha jaisa kay apni site mai jo be ap nay pages banya ha un kay Meta add karna.
Robot.txt file setup karna, SSL certifcate lagana, Sitemap genrate karna. Site ki description likhna. Ya kuch basic SEO hota ha jo ap ko karna hota ha website ko google par submit karne say pehle.
Agar ap ki site ki basic onpage seo nahi sahi tarah say hoi. To ap ki webiste ki ranking main issue ho ga. Is leya website ki SEO proper tarika say karo.
Find Profitable keywords
SEO kay bad jo agli cheez ha wo ha ap ki site kay leya keywords find karna. Ab ap shochu gay keyword kea cheez ha. Keywords hota koi be words jo google par search karte ha keywords ha.
Thori dair pehel main nay ap ko batya ha kay seo kay begir ap ki site rank nahi ho gi. Keywords seo kay main factor ha is leya ap ko apni keyword research par full focus karna parye ga.
Keywords hota ha 2 tarah kay
- Short tail
- Long tail
Short tail keywords hota ha jin mai ek ya do words hota ha. Jaisa shoes, best shoes, or sab say bari baat in keywords ka intent clear nahi hota.
Dosri type kay keywords hota ha Long tail keywords in main 3 say 6 words hota ha or in ka intent clear hota ha. Jaisa “Best shoes for students”. Keyword research ap buhat ziada tools ko use kar ay karo gay.
Kuch tools free ha lakin best tools paid ha. Agar ap ka start ha to main ap ko free tools recommend karo ga.
List of free SEO Tools
- Keyword surfer
- Whatsmyserp
- Answerthepublic
- The Hoth keyword planner
- Google keyword planner
- Keywords cloud
In sab tools ko ap free main use kar sakta ho.
Write Quality Articles on keywords
Keyword research kay bad ap nay articles likhnay ha un keywords par jin ko ap nay research kea ha. Ab articles jo ha wo seo main 2nd bara factor ha.
Agar ap nay wo article likh ha jo logo ki problems ko hal kar raha ha. To ap ka content quality ha kuch log quality articles samjhty ha jin ka plagiarism na ho.
Lakin quality kay articles wo hota ha jin main ap ka focus ap kay reders ha. or ap nay apna article readers kay leya likha ha. Google kay leya nahi yaha buhat sare log kuch tricks use karte ha.
Or apnay ap ko smart samajhty ha or AI content writing tools use karte ha jaisa CHATGPT, Jasper AI, Copy.ai wagira. Main AI kay khalaf nahi ya ap par ha agar ap in tools ko use karna chahty ho.
To kar sakata ho lakin agar ap ko mera opinon janana ha. To ap AI tool use na karo apna contnet ya khud likho ya kisi write ko bolo or us say likhow.
Monetize your site
Ab time ha website say paisa kamane ka. Jab ap ki site fully ready ho jaye or ap nay kafi achy articles likhy ha. To ap kay pass agla step ha us ko monetize karna.
Monitize kay buhat sary ways ha jin ko ap use kar sakat ho. lakin ap ko mai yaha ek baat bata do kay monitize karne say pehel ap ki site par achi traffic honi chahy. Tab ap monitize kay process ko use kar sakta ho.
Website say paisa kaisa kamaye
Ab main ap ko kuch ways batata ho jin ko ap use kar kay apni website ko monitize karo gay.
- Google Adsence
- Affiliate marketing
- Ads Placement
- Paid Posts
- Sell own Products
Ya kuch ways ha jin ko ap use kar kay paisa kama sakta ho apni website. Lakin main ap ko in sab ways ko detail main batu ga kay ap nay in ways ko kaisa use karna ha.
Google Adsence
Google adsence google ek product ha. Jis ko use kar kay ap apni website par ads laga sakta ho. lakin ap ko google adsence say approval layna pary ga.
Approval laynay say pehle ap ko kuch cheezay pori karni ha. Agar wo ap ki site par ha to chances high ha kay ap ko adsence easily mil jaye ga.
Sab say pehle cheez ha ap ki site par 5 pages “About Us, Contact US, Privacy Policy, Disclaimer, Terms & Conditions” hony chahy. Us kay bad next cheez ap ki site par enough content hona chahay.
Or jo last cheez ha wo ha kay ap ki webiste par kuch traffic ho. Ya sab agar ap ki site par ha to ap ko adsence mil jane kay chances high ha. Lakin ya sab tab kam aye gay jab ap ki site ki niche google ki terms ko follow kare.
Agar ap ki koi aise niche ha jo google ki terms kay Khalaf ha to ap ko adsence nahi milta. Jaisa Movies download site par adsence nahi milta.
Affiliate Marketing
Affiliate Marketing adsence kay bad next option ha jo har blogger use karta ha. Or har blogger ki sab say ziada income is method say he ati ha.
Affiliate marketing main hota ha kisi dosry bande kay product ko commission base par promote karna. Ap nay niche apni deakhni ha us kay bad deakhna ha.
Kay ap ki site mai kea affiliate marketing ko use kea ja sakta. To ap is ko use kar sakta ho keu kay iss say ap ko huge ammount main earning ho gi.
Ads Placement
Ads placement be adsence ki tarah ha lakin is main log ap ko apny ads day gay. Or bolay gay apni site par hamary ads laga day. Ya ha ads placement google adsence mai google ap ko 60% dayta ha ap ki earning ka.
Lakin yaha ap logo ko directly bol sakta ho kay ap ko kitna paisa chahy. Direct ads palcement ka ya faida ha. lakin ads palcement kay leya ap ko log.
Tab milay gay jab ap ki site main ek achi khasi traffic ho gi. keu kay jab logo ko pata ho ga kay ap ki site par achi kahsi traffic ha tab wo ads lagye gay.
Keu kay har bande to sales chahy is leya wo ap ki site par ads place kare gay. Iss leya jitni ziada traffic ho gi ap ki site par utnay paisa ap us client say charge kar sakta ho.
Paid Posts
Paid posts be sab say acha or active way ha apny blog say paisa kamane ka. keu kay ap ko is method main ziada kuch nahi karna. jab ap ki site ki authority build ho jaye ge.
To buhat sary log ap ko reach out kary gay kay ap ko hum ek post dayty ha. Ap us ko apni site par laga day. Ap is kay leya un logo ko acha khasa charge kar sakta ho.
Meri ek site ha jis ka DA 10 ha lakin us site ki traffic high and or site rank be achi karti ha. Us site say main nay ek new site ko $80 leya ha us ki paid post kay.
Ab paid post 2 tarah ki hoti ha ek biography type jis main log ap ko paisa day gay apni promotion karwany kay leya. Dosri type ki post ho Guide ya kisi be type ka article.
Jis ka maqsad ho ga backlink. Paid post of off-page seo main guest post technique be kaha jata ha. Log apni site ki authority increase kay leya karte ha.
Sell own products
Last of sab say best option ha apny products. But ya ap tab sale kar saktay ho jab ap apni niche main expert ban jow. Or lo ap ko janana shuru kar day.
Yani kay product selling say pehle ap ko brand building par focus karna pary ga. Or brand building main sab say zaroori jo cheez ha wo ha content creation.
Ap apny blog par content likh rahy ho. Koshish karo kay jo article ap written form main day rahy ho. Us ko ap muktalif social media par video ki form main upload karna shuru kar day.
Blogging kay sath sath apka online brand build kar ho jaye ga. Jis main ap ka ek acha khasa userbase ban jaye ga. Jab ap ka acha userbase ban jaye.
Us kay bad ap apny product sale kar sakta ho. Products hotay ha 2 tarah kay physical or digital. Ab ap ko demagh lagana ha kay ap kon se type kay product sale kar sakta ho apni niche kay hisab say.
Ya ha blogging say paisa kamanay ka tarika.
3. Youtube Channel
Youtube channel blogging ki tarah ka he kam ha. Blogging main ap content ya koi be information written form main dayty ho. Lakin youtube par ap usi content ko video ki form main daytay ho.

Agar ap ko camera faceing say koi be issue nahi to ap apna youtube channel bana sakta ho.
Youtube channel hotay ha do tarah kay ek ha faceless or dosra face kay sath. Faceless channel main ap ki only voice he hoti ha. Or dosra type hoti ha face channel.
Kuch log camera face karnay say dartay ha. Lakin agar ap ko koi issue nahi to ap ko meri recommendation ho gi kay face wala channel start kary.
Keu kay ap ki ek face value ban jati ha. Voice channel main ap ki branding nahi hoti. Youtube start karna koi muskill kam nahi ap ko sirf ek gmail chahy.
Jis say ap easy signup kar sakta ho. Wo ap ko pata ha koi itna muskill kam nahi. lakin youtube channel start karny say pehlay kea kea cheezay deakhni ha ap ko main wo batata ho.
Channel Name
yes channel name ap nay aisae he nahi rakh layna jo be mind main aye. keu kay channel agar ap ka face wala ha to bad main ja kay brand main convert ho ga.
Or buhat sary log tab ja kay regret karty ha kay main nay ya channel name keu rakh ha.
Is leya ap ko main kuch tips kuch ideas batu ga. Jin ko ap use kar kay channel name easily rakh sakta ho. Youtube channel names 3 tarah kay hota ha.
- Personal Name
- Character name
- Business name
Personal Name
Sab say pehlay type kay name hota ha personal name. Jaisa mera name Hamza Asghar ha or main apna youtube channel name yaji rakh lo.
To mera channel name personal ho ga. Jis kay kuch faida be ha kuch nuqsan be ha jaisa kay faida ya ha kay ap ko log usi name say har jagha par jany gay.
Or nuksaan ya ho sakta ha kay ap ko har social media par same username nahi mily ga. Keu kay takreeban har name ka username har jagha pehly he book ha.
Lakin agar ap ka name koi extraordinary ha to ap ko maybe sary username mil jaye. keu kay jab ap kay pass ap kay username kay exect accounts ho gay to logo kay ap ko find karna easy ha.
Character name
Kuch youtuber apny name ki jagha koi be ek name use karty ha jo un ka Character name band jata ha. Jaisa mera name ha digitalhamza. Ya personal name nahi ha Character name ha.
Is name ka ek faida ya ha kay jab ap ko log ap kay apny name say bulay gay to ap ko pata chal jaye ga. jaisa agar mujy koi hamza bulaye ga to mujy pata chal jaye ga.
Is ko hamza ban kay ilna ha, Lakin agar koi mujy digitalhamza bulaye ga to mujy pata ha is say digital hamza ban kay baat karni ha.
Or jitna ap ka anokha name ho ga utna logo ko yaad rahy ga. Name rakhny say pehlay ya deakho kay jo ap content banan ha wo kis country ya kis language kay leya banan ha.
Jaisa mera content urdu/ Hindi walay logo kay leya ha. To main apna name be aisa he rakho ga jo in logo ko yaad rahy. To koshish karo kay apny name mai ek word regional language ka use kar.
Business name
Business name youtube channel jaisa jay ap ko name say pata chal raha ho ga. kay business name pr he rakha jata ha. Agar ap social media marketing karna chahta ho.
Apny business kay leya to ap youtube channel bana kay apny business ko easily promote kar sakta ho. Let’s suppose ap ka business food kay related ha.
To apny channel par food-related videos bana sakta ho or us main apny products use kar kay promote kar sakta ho.
Ya 3 type kay names hoty ha in mai say ap kisi be type ka name rakh sakta ho. Apny hisab say jo be ap ko passand ata ha.
Name select karnay kay bad kuch or cheezay be ha jo ap ko mazeed deakhni chahay.
Brand Color
Jis main say ek cheez brand color ha keu kay ap ka jab ap ka channel famous ho ga. TO kuch log ap kay band ko color say pehchany gay.
Jaisa Neil Patel ka color Orange ha ap un kay graphics, website, social media’s par ya color use hoty deakho gay. isi tarah backlinko ka color green ha.
Brand color ap kay name ko ek alag pehchan dayta ha. For example ap youtube par videos upload kar rahy ho woha koi or color use kar rahy ho.
Social media posts main alag color or site par alag color. Aisa nahi karna apna ek fix brand color decide karo or us ko zida use karo har jagha.
Ya kuch cheezay ha is ka ap khiyal rakhy or ap apna youtube channel shuru kar sakta ha.
Skills need to start a Youtube channel
Youtube channel kay leya be blogging jaisa kuch skills ha. Jin ko ap ko master karna pary ga.
List of skills need to start a youtube channel
- SEO
- Video Editing
- Graphic Designing
- Storytelling
- Communication skills
- Scriptwriting
Ya sab saty zaroori skills ha jin ko ap ko master karna ha is main say ap nay kisi ek mai be lack kea. To ap ko buhat ziada time lagy ga youtube main sucessful hony kay leya.
Jaisa agar ap ko script writing nahi ati to ap apni video kay leya attractive scipt nahi likh sakta. Jis waja say ap ko audiance retantion kam he rahy ga.
Us kay bad agar ap ko story telling nahi ati to ap us script ko achi story mai covert nahi kar sakta. Isi tarah sari agli skills ha inshort sari skills apass main interlink ha.
To ap ko sab skills ko ek ek kar kay master karna pary ga. Or ap master karo gay practice kar kay. Seakhny kay sath sath practice be zaroori ha. to ap seakho be or practice be karo.
4. Affiliate Marketing
Jaisa kay main nay ap ko pehle batay ha akay affiliate marketing ek monetization ka method ha. Affiliate marketing hoti ha kay kisi ka be product commission base par promote karna.

Lakin kuch log sirf affiliate marketing karte ha or product sale kar kay paisa kamate ha. Affiliate marketing karna easy ha or ap is say paisa be buhat ziada kama saktay ho.
Lakin ap ko ya seakhna pary ga kay affiliate marketing main ap nay products ko sale kaisa karna ha. products ko sale karnay kay 2 tarika ha ek free or dosra paid.
paid main ap social media marketing karte ho ya PPC. Jis say ap products ko sale karwa kay apna commission layty ho. Lakin dosra method ha free main ab free main kisi be cheez ki marketing karny kay leya.
Ap ko us ki content marketing karni ho gi key kay content marketing sab say best free way ha marketing karnay ka.
Ab main ap ko ya batata ho kay ap products kaha say lo gay pormote karnay kay leya. Lakin us say pehle ap ko main ya batata kay kon say products hotay or ap ko kon say products sale karwany chahy ziada commision kay leya.
Types of products for Affiliate marketing
Products hotay ha 2 tarah kay jin ko main say ap kisi ko be promote kar sakta ho.
- Physical Products
- Digital Products
Physical Products
Pysical products hotay ha jin ko ap hath laga sakta ho jaisa laptops, mobiles wagira. lakin digital products ko ap hath nahi laga sakta jaisa courses, tools, Hostings wagira.
2021 main amazon affiliate marketing ki wave aye thi. Jis main log ap ko seakha ray thy kay ap amazon affiliate marketing kaisa kar sakta thay.
Agar ap ki niche aisa ha jin main ap physical products promote kar sakta ho. To amazon platform ap kay leya ha. Keu kay amazon ka ek affiliate program ha.
Jis main ap signup kartay ho us kay bad amazon par majood har product ko ap promote kar sakta ho.
Digital Products
Dosry type kay products hotay ha digitals jin mai koi be physical cheez nahi hoti. Just ap ko koi be online base cheez ko promote karna hota ha. Jisa courses, hosting, tools.
Lakin digital products ko promote karny kay leya ya to ap ek acha audience base hona chahy. Ya phir ap ko dedicatedly he is cheez ko promote karna pary ga.
Lakin psycial products say ziada paisa digital products main ha. Is leya agar ap ko promote karna ata ha to ap digital products promote kar sakta ho.
Ab main ap ko batata ho kuch plateforms jin ko ap use kar kay asani say wo products find kar sakta ho jin ko ap promote kar sakta ho.
Best Platforms for affiliate marketing.
Ab mai ap ko kuch platforms batata ho jin ko ap use kar kay affiliate marketing start kar sakta ho.
- ClickBank
- CJ ( Commission junction )
- Maxbounty
- Amazon Associates
- Warrior Plus
- JVZOO
Ya 6 sab say best affiliate marketing kay leya platforms ha. Lakin ap ko is ko use karnay kay leya approval layni parti ha. But yaha ap ko main ek cheez batata do.
Kay Approval say pehle ap apny leya koi be ek traffic source bana lo. Jaisa website ya koi be social media par audience base bana lo. Keu kay is say ap ko approval easy mil jaye ge.
How to start affiliate marketing
Ab main ap ko detail main batata ho kay ap kaisa affiliate marketing ko start kar sakta ho. Lkain ap ko main dosry articles ki tarah buhat bara ya mushkil steps nahi batu ga. Just simple steps batu ga.
Steps to start affiliate marketing
- Select your product
- Choose the way to promote
Ya 2 main steps ha jin ko ap use kar kay affiliate marketing start karo gay. Baqi jo be steps ha un ko main nay pehle he ap ko batat deya ha.
Select your product
Jaisa kay ap ko main nay batay ha kay products 2 tarah kay hotay ha. Ek pysical orDosra digital products. Ab ap nay apny hisab say koi be ek product select karna ha.
Product select karnay say pehlay ap nay us kay leay kuch cheezay deakhni ha. Jaisa kay jo product ap promote karnay lagy ho wo genuine ha ya nahi.
Phir ap nay deakhna ha kay kea ya product kisi ki life main koi be a value add karta ha. us kay bad ap nay deakhna ha kay is product ko kitnay log promote kar rahy ha.
Ya Sara data ap ko affiliate platforms say mil jaye ga.
Choose How to promote
Product select karny kay bad ap nay way select karna ha kay ap nay kaisa is ko promote karna ha. Paid ya free agar ap paid way select karo gay.
To us main be ap nay platform be sahi choose karna ha jis par ap promote karo gay. Ap ko product deakh kar andaza ho jaye ga kay is product kay leya sab say best platform kon sa ha.
Lakin agar ap free main promote karna chahty ho to sab say best way blogging ha. AP us product kay around ek site banow us main articles likho.
Or un articles mian products ko promote karo. Jis say ap ko free main sales milay ge lakin ap ko blogging ya free method say sale karnay main time lagy ga.
Keu kay ap ko ek audience base build karna pary ga. OR audience building main time lagta ha.
5. Online Teaching
Jo Fifth number ka method ha ya har koi use kar kay paisa nahi kama sakta. Lakin jis par ya apply gota ha wo is say buhat ziada paisa kama sakta ha.

Online teaching hota ha kay logo ko zoom par live koi be subjects, skills ya kuch be parha sakty ho. Lakin ya cheez karnay say pehle ap ko khud us cheez main expert hona chahy.
Agar ap koi be teacher ho ya kahi par koi instructor ho to ap easily online parha sakta ho. Lakin agar ap hud kisi felid main expert nahi.
To meri ap say request ha ap is cheez ko avoid karo.
Lakin agar ap expert ha to ap kaisa start kar sakta ho. Start main ap ko koi be nahi janta to sab say pehlay ap ko apny skills or knowldge ko logo ko deakhana pary ga.
To ap start karo youtube say. Youtube par ap apny feild kay related videos banow or har video main ap apny zoom class ko promote karo. Or koshish karo kay free main ap koi be course bana do.
Jaisa mera youtube par buhat ziada free courses ha. Ap us main say koi be kar sakta ho jab ap ka thora sa audiance base band jaye. Tab ap apny paid sessions kay leya signup karwaya.
6. E-commerce & Dropshipping
2022 wo time tha jab pakistan main ecommerce ka boom aya tha. Jo ajj be ha lakin buhat zaida log ya nahi jantay kay ecommecer ko kaisa proper karna ha.

E-commerce shuru karny say pehlay ap ya cheez deakho kay ap kay pass investment kitni ha. Us kay bad next plan usi hisab say rakhi. Simple e-commerce ki definition ha kisi be physical product ko online sale karna.
Or dropshipping hota ha kisi kay product ko sale kar kay paisa kamana. jaisa kay ap nay ek amazon par product deakha ha jo 30$ ka us ko ap apni site par 40$ mai sale karo gay.
Amazon say images or infographics lay kar or jab sale aye to ap us banday ka order amazon par place kar kay apna paisa nikal lo gay.
Ab main ap ko batata ho kay ap kaisa ecommerce industry main ja sakta ho.
How to start an e-commerce business online
Ab main ap ko steps batu ga jin say ap apna e-commerce business start kar sakta ho online.
Find product
Sab say pehla step ha apny leya ek product find karna. Keu kay product ap sale karo gay to product ap nay wo find karna ha jo evergreen ho. Seasonal base na ho jaisa koi Gadgets wagira.
Ap ko buha sary youtube par lactures mil jaye gay jo ap ko ya batya gay kay ap nay products kaisa or kon sa sale karna ha. To ap nay apny leya ek winning product find karna ha.
Jab ap ko product mil jaye to apnay furthre research kar layni ha kay product ki demand ha ya nahi. Aisa na ho jo product ap nay banya ha us ki demand he na Ho.
Us kay bad ap nay check karna ha kay ap jo product sale karnay wale ho us ka competition kitna ha. Keu agar ap nay oi aisa product select kar leya jis main competition ziada ha.
To ap ka kam shuru honay say pehlay he khatam ho jaye ga. Agar ap kay pass limited budget ha, lakin ap kay pass agar budge ziada ha to ap easily risk lay sakta ho.
Product Outsource karna
Product find karnay kay bad next kam hota ha us product ko source karna. Ap kay pass kuch options hotay ha jaisa kay ap alibaba ya china main mujood logo say product buy kar sakta ho.
Agar ap jo be product sale karna chahty ho wo already build ha. Lakin agar koi aisa product ha jis ki RND par ap ko time dena pary ga to ap un kay samples hud he design karo.
Takay ap us ko deakha kat us jaisa ap products bulk main banwa sakta ho. Or ap ko be pata ha kay china sab say bara hub ha koi be product banany ga khardany kay leya.
To apny sample kay bad ap china main koi be company ya kisay banday kay sath tieup kar kay apnay product ko bulk quantaty main manufacture kawa lo.
Brand logo and name
Product kay decide honay kay bad ap nay us kay leya ek brand name or logo final karna ha. Keu kay name he ap kay product ko popular kawya ga.
Ap nay aisa he koi be name select nahi karna jitna time ap nay product ko find karnay main or final karnay main lagya ha. Us ko ek acha name dena ap ka faraz ha.
Is leya ap apny product kay name par thora sa time Dayna takay ap ek aisa unique or easy to remember name nikalo. Jis say ap ka brand famous banay.
Product ko famous karnay main be name buhat important role play karta ha.
Select a platform to sale
Product kay bannay kay bad ap nay us product ko sale be karna ha. To ap nay sale karnay kay leya ek platform select karna ha. Jis par ap apna product easily sale kar sako.
Jaisa amazon, ebay, daraz, OLX buhat zaida plateforms ha. Ap is ko use kar kay asani say apna product launch kar kay paisa kama sakta ho.
Ya agar ap nay in plateform par sale nahi karna to ap apni website bana kay be us ko sale kar skata ho. Lakin agar ap nay apni website bana kay sale karna ha.
To ap ko buhat ziada challanges face karnay pary gay. Jaisa kay ap ki site ki koi be traffic nahi ha. To ap ko buhat ziada marketing karwani pary gi.
Jis say ap ki site famous ho or log ap ki site ko visit karna shuru kary.
Ya ha ecommerce agar ap nay ecommerce industry main jana ha to ap ko buhat se skills ko master karna pary ga. jaisa marketing, sales, desiging wagira.
7. Domain Flipping
Last method ha domain flipping jis say ap buhat ziada paisa kama sakta ho. Lakin is main ap ko patience buhat chahy. Keu kay domain flipping main domain ap kay pass lambay arsay rahy ge.
Domian hota ha kisi be website ka name. Jaisa kay ya meri domin ha digitalhamza.com. Isi tarh domain flipping hoti ha domains ko sasta lay kar pehnga bechna.
Buhat sary log is way ko use kar kay paisa kama ray ha. Ap ko is main just ya cheez seakhni ha kay kon kon se domains ap kay leya diamond ha or kis type ki domain easily sales hoti ha.
Buhat sari website ha jis say ap domains buy kar sakta ho jasa Namecheap, Hostinger, Godaddy or be buhat ha. Just ap ko domain laynay say pehlay research karni ha.
Conclusion
Ya 7 ways ha jin ko ap use kar kay paisa kama sakta ho. Ab mian ap ko kuch tips don ga jo ap ko buhat help ary ge online kam start karny main.
Sab say pehli baat ya kay koi be way ho paisa kamana ka online us main koi be short cut nahi. To mehnat to ap ko karni pary ge agar ap kisi shortcut ki talash main ho to ap kuch nahi kar sako gay.
Dosri baat ya ha kay kabi be koi cheez seakhny kay leya paisa mat dayna kisi ko be. Agar ap nay wakiya he kuch cheez ya skill seakhni ha to ap youtube say easy seakh sakta ho.
Keu kay koi be course ya koi be training ap ko kuch nahi seakhy gay. Lakin jab ap kisi cheez ko hud seakho gay to ap better seakho gay.
Is waja say kay ap us skill ko practice be karo gay.
Tisri cheez ya ha kay kabi be focus start main paisa par nahi karna. Agar start main he ap ka focus paisa par ho gya to ap apni skill par focus nahi karo gay.
Ya kuch tips ha jo ap ko main nay deani thi jo sab say zarorri ha. Mujy umeed ha kay ap ko ghar baithe paisa kamane kay tarika pata lag gay ho gay.
Thanks for reading this article
Regards,
Hamza Asghar AKA Digitalhamza