International blogging jis say buhat he kam traffic kay sath acha khasa paisa kama sakta ha. Keu kay international blogging mein ap ko milta ha High CPC, Lakin buhat sary logo ka sawal hota ha kay international blogging kaise kare.

To is article mein ap ko mai yahi batu ga ap kis tarah international blog banana sakta ho. International blogging hota ha apni country mein baith kay kisi dosri country ko target karna.
Is ka faida ya ha kay agar kay international country mein ap ko CPC high milta ha jo kay Pakistan ya India mein utna nahi milta. Agar ap newbie ho to ap International Blogging easily nahi kar sakta.
Keu kay ap ko sahi tarkia nahi pata kay ap site bana kay us ko internationally rank kaisa karwao gay. Or specially ap ko internationally buhat ziada competetion milta ha.
To ap ko ya method be batu ga kay ap kaisa easily rank karo gay internationally. International blogging kay leya ap ko ek international niche chahy hota ha. Is leya sab say pehle ap ko mein batu ga kay ap niche research kaisa karo gay.
Niche kaisa select hota hai
Niche hota ha ap ki website ka topic. Ab niche select karne say pehle ap ko kuch cheezo ka khiyal rakhna ha. Sab say pehle kay koshish karo kay wo niche select karo. Jis mein ap ko knowledge ho or ap ko passand ho.
Dosri sab say zaroori cheez jo ap ko deakhni ha wo ha country. Buhat sary log niche research karte ha or country target kary gay USA, UK, CANADA, or Europe wagira. Theak ha mujy pata ha ap ko chahy High CPC lakin us kay leya ap ko in kay alawa be buhat sary countries ha.
Jin mein high CPC milta ha or sath un country mein competition be buhat kam milta ha. Jaisa Argentina, Peru, Brazil and Romania. In country ko target kar kay ap acha khasa paisa kama sakta ha.
Niche select Kaisa kary
Ab mein ap ko kuch ways batat ho kay niche ap kaisa select karo gay. Sab say pehla step ha ap ek copy pencil lo or us par wo topics likho. Jis kay bary mein apko knowledge. Phir us kay bad ek ek kar kay un topics par search start karo or apni niche ka search volume, competition find karo.
Must Read: 50 best niches for blogging
Or sab sat zaroori cheez ap ya check karo kay is niche par ap ko estimated traffic kitna mile ga. Search volume or competition ap deakh saktay ho free kay tools say. Jaisa keyword surfer, Keywordscloud, Whatsmyserp, or Ryrob keyword research tool.
lakin ap ko estimated traffic find karny kay leya ap ko paid tools ke zaroorat parti ha. Jaisa semrush, Ahref wagira agar ap nay detailed mein analyze karna ha to ya tools chahay ho gay. Warna ek free ka tool ha ubersuggest jo kay free mein ap ko kuch data day dayta ha.
To ap us ko use kar kay apna data nikal sakta ho.

Dosra Step ha Jis country ko ap nay target karna ha ap us country ki news sites find karo. Us kay bad ap kisi be tool mein add kar kay deakho kay wo site kis kis keywords say traffic lay rahi ha. Jaisa mein nay propakistani.pk ko semrush mein deakha to mujy pata chala.
Kay propakistani.pk site jo ha wo ziada tar search say traffic packages keywords kay related lay kar a rahi ha. Jaha say mujy ek new niche mile Sim packages kay related. Or jab sim packages kay related keyword research ke to mujy kafi aisa keywords mile jo easily rank kar sakte ha.
Dosri Langues mein Blog bana sakta ho
last step ha jo be niche ap nay select ke ha us ko most popular languages mein convert kar kay analyze karo. Jaisa Happy new year to kisi be dosri langues mein convert karo. Jaisa mein nay is keyword ko Spanish me convert kay research ke ha.

To jo results, mujy is keywords kay mile ha wo insane ha. “Feliz año nuevo” is a keyword ka search volume mujy global search volume 102k mila ha To socha sakty ha agar ap is par Aram say keyword research karo to ap ko kaisa kaisa keywords mile gay.

Ya keyword just ek example ha ap isi tarah apny leya kisi be dorsi country ki language ko target kar sakta ha. Mujy umeed ha kay ab ap smajh gay ho gay kay kaisa ap international blogging kay leya niche select kar sakta ho. Ab baat karte ha agly step ki.
Name select karo
Next step ha apni niche jo ap nay le ha us kay leya sab say pehle ek name select karna. Name ap koi be apni marzi ka select kar saktay ho. Yaha par mein ap ko batat dayta ho name ki types kay bary mein. Domain name 3 types kay hotay ha ek brand name dosra Partial match name or last hota ha keyword base name.
Branded Names
Sab say pehle name ki baat karte ha jo hota ha branded name. Is tarah kay jo name hotay ha wo random name hoty ha. Jin kay sath ap koi be niche add kar dayty ho. Jaisa Google, Facebook, Quora, Cnet wagira. just imagine Agar Facebook na hota ta ap kay samny agar koi ya name layta to ap nay nazdeek is ka kea matlab hona tha.
Lakin jab ek simple name kisi be industry kay sath jora to us industry ka brand ban gya. Branded name ziada nikhar kay aty ha. Agar ap koi be branded name rakhty ha apni site kay leya. To thora time lagy ga lakin jab ap ki site ko log ap ki niche ki waja say janan shuru kary gay to ap apni industry kay brand ban jow gay.
Partial Match Name ( PMD )
Secound type kay name hotay ha partial match. In jaisa name easily ap ki niche batata dayty ha jaisa tech crunch, Tech Radar, Healthline. In jaisa name mostly 2 words kay hoty ha jin mein ek work niche ka dosra word koi be random hota ha.
Keyword base name ( EMD )
Last name ha keyword base name in jaisa name ko EMD be kahaty ha. In name mei ap ko pora ka pora keywords mil jata ha jis ko ap rank karwana chahty ho. SEO kay hisab say is jaise domain ziada fast rank karte ha. Is kay bad partial match domain be jaldi rank karte ha. Lakin branded domains ko thora ziada time lagta ha rank karne mein.
lakin agar ap nay blogs ko longterm chalana ha to ap ko mein PMD names suggest karo ga. Keu kay ya rank be jaldi karte ha or save be hoty ha. EMD name jaida tar google ban kar dayta ha.
Other languages keywords ha agar ap kay to mein ap ko us country kay hisab say name rakho. Usi language mein or kosish karo koi be ek keyword find kar kay us par micro niche blog start karo EMD domain kay sath.
Domain or Hosting Buy Karna
Domain hota ha apki website ka name or ek extension us kay sath. Jaisa meri website ka domain ha digitalhamza.com. Isi tarah ap nay apny leya ek domain extension select karna ha.
Extensions do tarah kay hota ha ek GTLD ( Genral Top Level Domains). GTLD extensions hota ha .com, .co, .org, .net, .xyz wagira. GTLD 100 say ziada ha. Dosri type hoti ha CTLD ( Country Top Level Domains ). CTLD hota ha country base domains, jaisa .pk, .in, .uk, .usa wagira.
Ab mein ap ko batata ho kay ap ko kon sa exteion select karna chahy. Sab say pehel baat preferable .com ha lakin agar ap ko .com na mily to ap koi be domain lay sakta ho. Lakin ap nay ya khyal rakhna ha .com par koi be site pehlay say na bani ho.
.com preferable is leya ha kay ap is domain ko kisi be country mein rank karwa sakta ho. Lakin agar ap nay sirf kisi be specific country to target karna ha to ap us country ka domain lay sakta ho. Jaisa agar ap nay USA ko karna ha to .USA lay lo.
Isi tarah ap koi be domain lay sakta ho. Ya ap par ha, Lakin domain kay sath ap ko hosting be layni pary ge. Hosting hota ha online server jis par ap apni website ko host karty ho. Host say murad ha kay ap hosting par apni website ke files ko save karte ho.
Takay ap ki website 24/7 live rahy. Mein Hostinger ki hosting ko use karta ho.
Website Setup Karna
Domain or hosting layny kay bad ap nay wordpress setup karna aha. WordPress open source CMS ( Content Management System ) ha. Pory internet par jitni be websites ha un mein say 70% websites wordpress par bani ha.
Meri ya site Digitalhamza be wordpress apr bani ha to ap be apni site ko wordpress par setup karo. Or us kay bad koi be acha sa ek theme add karo phir SEO karo apni site ki.
Themes ap use karte ho apni website kay design ko customize karny kay leya. To kuch themes paid hotay ha kuch free. Paid mein ap ko kafi log buhat sari suggestions day gay. lakin ap ko mein kuch free themes batata dayta ho jin mein say koi be ap use kar sakte ho.
List of free themes for wordpress
- Wp Astra
- WP ocean
- type
- Zakra
- Genratepress
Ya kuch free kay themes ha jin mein say koi be ap use kar sakta ho. Digitalhamza par abi wp astra ka theme use kar raha ho. Ya mere kuch favorite themes ha to is kay alawa be buhat sary themes ha. Jo ap use kar sakta ho.
SEO karo or Articles likho
Website setup karny kay bad agla kam nay karna ha akay apni website ki basic SEO karni ha international keywords ko target kar kay. Us kay bad agla ap ka step ha apni website apr articles likhna.
Articles kay leya ap nay keyword research karni ha. Jis kay leya sab say best technique KGR ha. Yaha ap ko mein ek suggestion don ga agar ap nay apni website ko jaldi rank karwana ha to ap topical authority par focus karo us kay sath ap E.E.A.T par focus karo.
Or jo keywords ap ko ziada boost day gay wo ha jin ka Allintitle or double column kam ho. Phir un keywords par articles likho, Or koshish karo articles khud he likho kisi AI tool ka use na karo.
Keu kay Google kabi be Kisi AI tool say likh content ziada dair rank nahi kary ga. Keu kay AI jo be ap ko content dayta ho wo google say be layta ha. To google kisi aisa content ko rank keu karwaye ga jo content pehle he googles par mujood ho. Is leya ya to jo content kis be AI say likhwo gay wo us mein Human Touch Add karna.
Takay google easily detect na kar saky kay, ap ka content human nay likha ha ya kisi AI nay. Buhat sary ways ha jis say ap AI content ko rank karwa sakta ho human ka show karwa kay. Or ap us content ko rank karwa kay us say paisa be kamya gay. Keu kay jab ap ka content google Pakar nahi saky ga to adsence ka approval be mil jaye ga.
Final Thought
International blogging mein ap ko ek niche chahy jis ko ap easily rank karwa sako. Or Agar ap society ho kay ap ko koi aise low competition niche mil jaye ge. Jis par ap english content likh kar rank karwa sakty ho.
Keu kar har niche par ap ko bhar bhar kay content mily ga internet par. Ab ap kay pass international blogging ki base par ap ko dosri languages mein he low competition mily ga.
Lakin us kay leya ap ko kuch ways find karny pary gay. Jis say ap content likh sako us languages mein jo ap ko nahi ati. Us mein sab say best way ha ap usi languages kay writers hire kar lo. Keu kay us say ap ko acha content mily ga. Jin ko ap asai say rank karwa sakta ho.
Dosra method ya ha kay ap english content likh kar kisi be paid translator ko use kar kay translate kar kay likh sakty ho. Kabi be ap google translate ko use na kary keu kay us ki quality koi itni khas nahi hoti.
To ap is tarah international blogging start kar sakta ho. To bas is article mein itna he I hope ap ko ya article say detail guide mily ho gai.
Thanks for reading this article International blogging kaise kare
Regards,
Hamza Asghar AKA DigitalHamza