Keyword cluster kya hai 2023 [ Detailed Guide ]

Agar ap nay apni website ko begir backlinks ya kam backlinks ki madad say rank karwana ha. To keyword cluster he wo method ha jis ko ap implement kar kay fast rank kar sakta ho. Is leya ajj kay article mein hum discuss kare gay keyword cluster kya hai or is ko kaisa banate ha.

keyword cluster kya hai

Jab baat ati ha seo ki to us mein har banday ki apni apni stratergies hoti ha. Jo har banda apny experience say apny leya build karta ha.

In sab strategies, mein say ek strategy ha keyword cluster. Jis ki madad say ap buhat asani say apni website kay leya link juice bana kay us ko rank karwa sakta ho. Ab baat karte ha keyword cluster ha kea or is ko kaisa banate ha.

keyword cluster kya hai

Keyword cluster mein ap ek he intent ko focus kar kay ek he topic kay related multiple articles likhty ho. Is mein ap ek pillar page banate ho. or us kay around articles likhty ho.

Jaisa ap chahty ho “How to make money online” keyword par rank karna. To ap ka main keyword ya ho ga. Or us kay bad ap is keyword kay around cluster banow gay. Jis mein ap isi keyword kay related multiple topics ko cover karo gay. Jaisa “How to make money with blogging”, “How to earn money from freelancing”.

Isi tarah ap further har topic ko detail mein likh kar sab articles ko interlink kar do gay apny pillar page kay sath. Jis say ek link juice ka loop ban jaye ga.

Jis say ap ko topical authority be mile ge. Or jab topical authority mil jati ha. To website buhat jaldi rank ho jati ha.

keyword cluster kaisa bane

Keyword cluster bananye kay leya ap ko kuch steps follow karne pary gay. Lakin us say pehle ap ko ya cheez understand karna ha. Keyword cluster tab sahi tarah say kam karte hai. Jab ap ko internal linking proper karte ho. Is leya apka focus internal linking par hona chahy.

Is article mein ap ko soft internal linking method batu ga jo save hota ha. Lakin is kay alwa buhat sary internal linking kay methods hota ha jo ap keyword cluster kay leya use kar sakta ho. Lakin agar ap ka start ha to ap soft internal linking say shuru kar sakta ho.

Or phir jaisa jaisa experience ata jaye ap best internal linking strategies apni build kar layna.

Lakin is article mein hum soft type ko discuss kary gay. Or ap ko detail mein batu ga, kay ap soft internal linking ko kaisa use karo gay. Ab discuss karte ha steps ko jo ap use kar sakta ho.

Step 1: keyword research

Sab say pehla step ha keyword research. Keyword research par mein nay pehle he article likha ha ap wo deakh sakta ho. Keyword research mein ap buhat sary ways ko use kar sakta ho. Lakin sab techniques or ways mein ek cheez common ha or wo ha tools.

Keyword research ap manually be kar sakta ho jis mein ap ka kafi time lag jata ha. Lakin jo ap keyword research tools say karte ho wo automatic hoti ha. Or tools say ap ka time be bach jata ha. Lakin in tools mein kuch paid hota ha kuch free.

Sab say pehlay ap ko tools ki list bata dayta ho jin mein say koi be ap use kar saktay ho.

Free keyword research kay tools 

  • Keywordscloud
  • Ryrob keyword research tool
  • Keywords surfer
  • Google keyword planner
  • The Hoth keyword planner

Paid Keyword research kay tools

  • Semrush
  • Ahref
  • Ubersuggest

Ap nay sab say pehle ek topic uthana ha jis par ap kam karna chahty ho. Us kay bad apna main focus keyword uthana ha apny pillar page kay leya. Yaha par ap nay har cheez ko detailed mein deakhna ha. Keu kay keyword selection mein kafi log mistakes karte ha.

Keyword cluster example

Suppose ap nay keyword uthya ha “Best laptop” ap Cahtay ho is par rank karna. Ab is keyword ko lay kar is kay around keyword cluster banaow gay.

Jo ap multiple be create kar sakta ho. Ya single cluster be ap bana sakta ho. cluster banaye kay leya apny mein keyword”Best laptop” kay related multiple keywords find kar kay un ko categories mein divide karo gay. Har category mein at least 5-10 keywords find karo. Jo long tail ho ya low competition ho.

Or jitna ho sakta is ko further divide kartay jana categories mein or har categories mein keyword research karna.

Step 2: Keywords par article likho

Keyword research karne kay bad next step ha articles likhna. Articles ap jo be generate karo gay koshish karo kay wo keyword ka intent par pora utray. Keu kay google ki nazar mein wo content quality ka hota ha. Jin mein reader ko enough information milti ha or un ki search pori ho jaye.

Ab yaha par kafi log sochay gay articles hum AI ko use kar kay likh sakta ho. AP likh saktay ho lakin mein recommend nahi karta. Agar long term kam karna ha to apna content khud likho.

Keu kay jo content ap khud likhty ho us mein ek human touch hota ha. Or wase be jo AI tools content genrate karte ha wo buhat basic or genral hota ha. IS leya apna content khud likho, agar ap ko english nahi ati to english seakho.

Ya phir ap apni he language mein articles likh sakta ho. Jaisa ya mein likh raha ho Roman Urdu mein. Ap jo be language use karo gay us kay leya ya deakh layna kay traffic potential kea ha.

Step 3: Internal Linking

last step hota ha jo be ap nay content generate kea ha us ko internal links ki help say jorna. Ab yaha par ap nay focus karna ha or dehan say samjhna ha. Ap nay jo be categories banye ha us kay sary articles ko ek dosry kay sath jo do.

Lakin yaha par khiyal rakhna kay jo be ap nay internal linking karni ha. us mein categories ko ek dosry kay articles say na jorna.

Let’s suppose ap nay 2 categories ha A or B ab jo “A” mein ap articles likho gay. Us ko sirf “A” kay articles kay sath he interlink karna or “B” kay articles ko “B” kay articles kay he sath. “A” kay kisi be article mein say “B” ko link nahi dayna. Or “B” kay kisi article say “A” ko link nahi dayna.

Or jo be in categories kay last articles ho gay un mein say link apny mein pillar page ko day daina. Jis say ap ek infinity flow ban jaye ga link juice ka. Jo har article say pass hota ap kay pillar page par aye ga. Ab is internal linking say ho ga kea kay jab be koi ap kay cluster kay kisi be page ko backlink day ga.

To flow ki madad say us ka juice sab pages par chala jaye ga. Jo sab say best method ha link juice bananye ka. Or apni website ko kam backlinks mein rank karwane ka.

Conclusion 

Keyword cluster sab say best way ha apny articles ko rank karwane ka. Keu kay is mein jab ap multiple articles ko ek sath interlink karte ho. To ek loop ban jaye ga link juice ka. Jis say agar kahi say be kisi be article ko link mil jaye to wo sary cluster mein faida ho ga. 

Ya ha keyword cluster ab mein umeed karta ho kay ap ko smajh a gai ho ge keyword cluster kya hai. 

Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top