Agar ap seo expert ho to ap ko pata ha kay seo mein keyword research kitna zaroori ha. Keu kay agar ap without keyword research kay seo karte ho. To ap ki site sahi rank nahi kare ge. Is leya keyword research mein ap ko buhat sari cheezay deakhni hoti ha. Jis mein say ek hota ha keyword intent.

Keyword intent keyword research mein buhat zaroori ha. Keu kay agar ap keywords bagair intent kay find karte ho. To ap ko sahi tarah say smajh nahi aye ge Kay kis tarah ka article likhna ha is mein.
Is leya mein ap ko aj kay article mein batu ga kay keyword intent kya hai. Or is ko keu deakhna zaroori ha.
Keyword intent kya hai
Keyword intent hota ha kisi be user ka keyword search karne ka maqsad. Keu kay jab tak ap ko actual mein samjah nahi ata kay kisi bande nay question search keu kea ha.
Tab tak ap sahi tarah say us par article nahi likh sakta. To ab mein ap ko batat ho kay kon kon say intent hota ha.
Types of Keyword Intent
Jaisa kay mein ap ko batya ha kay keyword intent hota ha keyword search karne ka maksad. Keyword intent 4 tarah kay hotay ha.
- Informational keywords
- Commercial Keywords
- Transactional Keywords
- Navigational Keywords
1. Informational Keywords
WO keywords jin ko search karna ka maqsad information hasal karna hota ha. Google is type kay keywords ko buhat ziada passand karta ha. In mein be kuch keywords hotay ha jin mein ap detailed articles likhto ha. Jaisa “How to start seo” or kuch simple questions hota ha.
Jin Ka answers yes ya no hota ha. Jaisa “can seo easy” ab jo secound type kay keywords hotay ha. In par ap detailed article nahi likh sakty.
Agar ap likhy gay to buhat kam chanes ha google ap kay article ko rank kare. Keu kay google keyword intent smajhta ha. Or google ko pata hota ha kay kon say keyword par kitna bara article likhna ha.
Trigger words
- How
- Why
- What
- Who
- Where
- tutorial
- ideas
- tips
- learn
- examples
Informational keywords ki examples
- How to start seo
- Who is Neil Patel
- SEO tips for beginners
- Blogging topics ideas
2. Commercial Keywords
Wo keywords jin ki madad say koi be user ki khas cheez ko find karta ha. Basically, commercial keywords investigation kay leya use kea jaty ha. For example “Best seo tools” is keyword kay hisab say jo be is ko search kary ga.
Wo ek best tool find kar raha ha seo kay leya. Yaha par aksar log karte ha kea ha commercial articles mein bila waja ki information dayty rehty ha. Let’s suppose ya jo keyword ha best seo tools. Is mein agar ap what is seo, types of seo, types of keywords Information add karte ha.
To is ka koi faida nahi keu kay ya information user ko chahy he nahi. Or wo ap kay article kay in part ko skip kar day ga. Is leya intent deakh leya karo or us hisab say article likha karo.
Trigger words
- Best
- top
- compare
- review
- site name
- product name
Commercial keywords ki examples
- Best seo tools
- Top perfumes for mens
- Semrush review
- Seo agency in pakistan
3. Transactional Keywords
Wo keywords jin ka intent kisi be cheez ko purchace karna hota ha. Mostly ap ko jo be transactional keywords milay gay. Us ko ek user tab search karta ha jab us ko kisi be cheez ko buy karna ho. Ya koi be cheez ko get karna ho.
Simple alfaz mein jo be is ko search karta ha us ko pata hota ha. Us product kay bary mein ko us nay buy karna.
Trigger words
- Cheap
- Buy
- For sale
- Coupon
- Order
- Download
- Sign up
- Register
Transactional keywords ki examples
- Youtube download
- Buy iPhone 14
- Semrush price
- Cheap keyboard for pc
4. Navigational Keywords
Last type kay wo keywords hota ha jin mein kisi be website ka name hota ha. Is tarah kay keywords branded keywords hotay ha. Or ap kay pass buhat kam chances ha kay ap is tarah kay keywords ko apni site par rank kar saka.
Keu kay agar koi search karta ha “Digital Hamza” to meri site is name par hamesha top par rahy ge. Keu kay ek to mera ya name ha dorsa sab say bara advatage ha.
Kay mere pass .com domain ha. Isi tarah ap kisi be dosry kay branded keywords par easily rank nahi kar sakta.
Agar kar jaye gay to kabi be top par nahi kar sakta gay.
Trigger words
- Any site name
- Products name
Navigational Keywords ki examples
- Digital hamza
- semrush login
- keyword research guide neil patel
Keyword intent ko kaisa use kare
Buhat sary tools ha seo kay jo ap ko keyword intent bata dayta ha Jaisa semrush or ahref. Sab say pehli cheez agar ap nay apny article ko sahi tarah say or jaldi rank karwana ha.
To ap ko apny article ko to the point rakhna ho ga. Or wo he information add karni ho gi jo sirf keyword intent ko pora kare. Faltoo ke information add nahi karni. Ya, sab says bari cheez ha. Or keyword intent kay sath ap topical authority or E.E.A.T par be focus karo.
Keu kay in sab ko use kar kay mein nay apni ek website ko rank karwaya tha.
Conclusion
Keyword intent buhat important part ha keyword research ka. Ap is ko must use kary keyword research karty time. Keu kay ya ap ko help karta ha apny user ki need ko smajhny mein. Or intent ap keyword cluster, KGR technique wagira mein use karte ho.
So bas ajj kay article mein itna he mein umeed karta ho ap ko ya article passand aya ho ga. Or ap ka question keyword intent kya hai clear ho gya ho ga.
Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza