Har koi chahta ha us ka blog rank kare or wo jaldi traffic la kay paisa kamaye. Lakin Buhat sary log blog to start kar layty ha. Or seo be sahi tarah say seakh layty ha, Lakin jab keyword reserach karte ha. To woha par kuch mistakes karte ha. Is leya ajj kay article mein ap ko mein kuch keyword research ki galtiyan batu ga.

Jo ap ko nahi karni or agar ap kar rahy ho to un ko jaldi say sahi kar lo. Warna ap apni websites ko rank nahi karwa sakta. Is leya is article ko pora parna, Keu kay keyword research wo hisa ha SEO ka.
Jis ko agar ap sahi tarah say nahi karte to faida nahi ap kay blog banana ke. Jaisa kay ap ko pata ha muje 6 saal ho gay ha seo karte howaye. Buhat sari websites par kam kea or buhat sare blogs banye.
Jis say muje ya andaza howa ha kay seo mein sab say important part Keyword research ha. Is leya keyword research karte waqat ya galtiyan na karna.
Mistake 1: Premium Tools use karna
Sab say pehle or bari mistake jo ek newbie akasar karta ha. WO ha premium tools use karna, Keu kay ap ek video deakhty ho youtube par. Jaha par ap ko ek tool seakhya jata ha or kaha jata ha group tool buy kar lo.
Ap begair sochay samjhy wo tool group buy mein purchase karty ho. Or us kay bad jaisa videos mein deakhty ho wase he keyword research karte ho. Jaisa wo kahata ha Kam “KD” wala keyword utho us par content likho. Or ap rank kar jow gay.
Sirf keyword ki KD he nahi hoti us kay alawa be buhat sari cheezay deakhni hoti ha. Keyword ka intent kea ha, Keyword short tail ha ya long tail. Or sab say important jis website par ap nay us keyword ko target karna ha.
Us website ki authority kea ha, Mostly bloggers kay keywords is waja say rank nahi karte.
Kay website new hoti ha or sandbox main pari hoti ha. Blogger ya koshish nahi karte kay apni website ko pehle sandbox say bahir nikaly. Wo keywords find karte ha jin ko already competition hota ha. Or agar kisi be keyword ka competition na be ho.
Tab be ap ki website ko us keyword par rank honay kay leya topical authority chahy.
Mistake 2: High CPC wale keywords uthana
Dosri sab say bari mistake jo har koi karta ha wo ha high CPC keywords ko target karna. Sab say pehle baat 2023 mein ap ko koi be aisa high cpc keyword nahi milay ga jis par competition kam ho.
Or as a newbie ap us keyword par easily rank nahi kar saktay. To meri recommendation ha start mein ap apna focus keywords or apny content ko rank karwane mein karwao. Or koshish karo apni website ko brand banaye ka.
keu kay jab ap ki site apni indusrty ke brand ban jaye ge or achi khasi authority bana lay. Tab ap high cpc wale keywords ko target karna. I know start mein ap earning kam karo gay.
Lakin ap ko mein yaha par ek way batata dayta ho kam traffic say paisa kamanay ka. Or wo ha affiliate markeing, Yes jab ap kisi be bari website ko deakho gay to us ka ziada paisa affiliate marketing say he ata ha. Is leya starting say high cpc keywords ko choro.
Or koshish karo kay low competition keywords utho or us mein koi be affiliate product ka link laga do. Jis say agar koi be us ko buy kare ga ap kay link say. To ap ko commission genrate ho jaye ga.
Mistake 3: Ignoring Keyword intent
Mistake number 3 ha intent ko ignore karna. Keu kay intent keyword research mein buhat zaroori cheez ha. Agar ap intent ko sahi tarah smajh layty ho. To ap kay kafi masly hal ho jate ha jin mein say ek masla article witing ka ha.
Article writing ka masla ya kay mein nay kafi logo ko deakha ha. Jin ko keyword ka intent nahi pata hota or wo billa waja article ki lenght barhaty rehty ha. Or fazool information add karte rehtay ha article mein.
Is leya ap ko sab say pehle ya pata ho kay intent kea ha keyword ka. Us kay bad ap nay sirf article main focus is baat par karna ha. Kay ap ka article us intent ko pora kare, Jab ap kay article ka intent pora ho jaye. To wo ap kay article ki length hoti ha.
Intent 4 tarah kay hotay ha:
- Informational Intent
- Commercial Intent
- Transactional Intent
- Navigational Intent
Ya 4 tarah kay intent ha jis par mein already article likh chuka ho ap ko mil jaye ga mere blog par. WO ap par layna jis say ap ko mazeed samajh a jaye ge intent ki.
Mistake 4: Wrong Focus keyword
Last mistake ha wrong focus keyword select karna. Buhat sary log kea karte ha jo be keyword select karte ha us ko aise he select kar layty ha. Mostly newbies jab deakhty ha kay keyword low competition ha to wo us ko focus keyword bana layty ha.
Lakin focus keyword jis par rank karna hota ha us ko ap pillar page mein dalo. Or us kay around jo be article cluster bano gay us ko ap baqi keywords kay sath mila do.
Or sary keywords par article likho un ko interlink kar kay pillar page kay sath link kar do. Jis say ap ki website par jo be backlinks un articles ko aye gay. Wo sab ka link juice ek flow mein ap kay pillar page tak chala jaye gay. Is say ya loop bar bar ap kay pillar page say ho ga.
Jo ap ko topical authority day ga. Or jab topical authority mil jaye to websites buhat jaldi rank kar jati ha.
Muje umeed ha kay ap ko ya article keyword research ki galtiyan passand aya ho ga. Or ap kay sary questions clear ho gay ho gay.
Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza