Keyword research kya hota hai 2023 [Ultimate Guide]

SEO mein sab say important part keywords ha. Is leya ap ko sab kuch pata hona chahy kay keyword research ha kya or Kasia ap keywords find kar sakta ho. Keu kay jab tak ap ko sahi tarah say keywords find nahi kar layty.  Ap ki website rank nahi kare ge google mein. Is leya ajj mein ap ko is article mein batu ga keyword research kya hota hai.

Keyword research kya hota hai

Or ap kaisa apny leya winning keywords nikal sakta ho. Mujy 6 saal ho gay ha is online industry mein or last 4 years say mein blogging kar raha ho. To apny experiance say ap ko mein ya batata sakta ho.

Kay agar ap nay online industry mein kamyab hona ha to SEO seakho. Or agar seo mein kamyab hona ha to ap ko keyword research par focus karna pary ga.

Buhat sary logo ko nahi pata kay kon say tools or kon se techniques ko use kar kay keyword research kar sakta hain.

keywords kya hota hai

Ap ko keywords ki buhat sary definition mily ge. Lakin ap ko mein buhat he simple kar kay batat ho. Wo words jin ko ap google mein search kar kay data nikalty ho keywords hotay ha. Or keywords find karne kay process ko kahtay ha keyword research.

Yaha par question ata ha kay keywords nikalty keu ha. Basically har keyword ka ek search volume hota ha jis say ya andaza hota hai. Kay kitna log us topic ya cheez mein interested ha.

Jo Humay bata dayta ha kay hamay us keywords ko target karna chahay ya nahi. Keu kay agar ap without volume deakhy keywords ko target karte ha. To ap ko nahi pata  kay kitna log ap kay us page par aye gay. Maybe jis keyword par ap kam kar rahy ho us ko koi be target nahi kar raha ha.

Types of keywords

Keywords kay 2 types ha ek short tail keywords dosra type ha long tail keywords. Lakin buhat sary log kahtay ha ya 3 types ha 2 jo mein nay batata de ek last ha middle type keywords. Lakin mein 2 he consider karta ho keu kay middle type of long-tail mein koi ziada farak nahi ha same he ha.

Short tail keywords

Short tail keywords 1 ya 2 words kay hota ha keywords or in ka intent clear nahi hota. Intent hota ha maqsad kisi be bande ka us keyword ko search karne ka. Or sab say bare cheez agar ap ki website new ha to ap kabi be short tail keywords par rank nahi kar sakta.

Keu kay is jaisa keywords ko buhat bary websites target karte ha jin ki buhat ziada authority hoti ha. To woha par ap ka as a new website rank karnay ka chance kam ha. is leya hum short tail keywords ki bajya long tail keywords ko target karte ha.

Long tail keywords

Dosry type kay keywords hota ha long tail keywords. Ab yaha par keywords ki lenght 3 say 6 words ki hoti ha. Or in keywords ka intent be clear hota ha. Intent find karna buhat zaroori ha keu kay agar ap ko intent sahi tarah say na pata ho ap ek acha content nahi likh sakta.

Or sab say maze ke baat long tail keywords mein ap ko competition be buhat kam milta ha. Keu kay jaisa mein nay kaha pehle kay bari website short tail keywords ko target karte ha long tail keywords ko nahi.

Ap ya par long tail ko target kar kay asani say rank nikal sakta ho. Or yaha par ap ko volume be ziada nahi milta kam he milta ha. Keu kay ziada volume short tail keywords par hota ha.

Keyword research kaisa kare

Keyword research karnay kay leya ap ko kuch tools ke zaroorat ha. Keu kay tools kay alawa koi be aisa way nahi ha jis say ap ko ya pata lagy. Keywords ka volume, CPC, competition or be buhat kuch.

Buhat sary tools ha jin ko ap use kar sakat ha ap ko mein kuch tools ki list be day daita ho.

Free Keyword research tool 

  1. Keywords Cloud
  2. Ryrob keyword tool 
  3. The Hoth keyword planner
  4. Google keyword planner
  5. Keyword surfer

Ya 5 tools in time free ha, Is mein say keyword surfer or keywords cloud mera favorite tool ha. Mein kafi time say khas tool par keyword surfer ko use karta ho. Keu kay keyword surfer ek extension ha. jin ki madad say mujy kafi keywords asani say google SERP page say he mil jate ga.

Lakin in tools ko ap kisi had tak he use kar sakta ha. Keu kay free tools mein ap ko buhat ziada cheezay nahi milti. To us kay leya ap ko koi be paid tool ki zaroorat ha. To wo be list ap ko mein day data ho kay paid mein kon kon say tools best ha.

Paid keyword research tools

  1. Ahref
  2. Semrush
  3. Ubersuggest
  4. Keywords.io
  5. keyword everywhere

In sab tools ko be mein nay use kea ha. Sab say best semrush ha baqi ap ki marzi jo be ap ko acha lagta ha ap use kar sakta ho. Ab baat karte ha kay ap keyword research kaisa karo gay. 

Keyword research mein buhat sary methods ha or buhat sari techniques ha. Har banda apni apni techniques use karte ha, Lakin ap ya nahi kah sakta kay wo techniques exactly ap kay leya be kam kare. 

Best Technique Keyword research kay leya 

Mein ek technique jo kay buhat pehle say use kar raha ho jis ka name mein nay Google Scraping rakha ha. Is technique main google ko use kar kay keyword research ke jati ha. Us kay leya ap ko keyword surfer extension ki zaroorat ha. Is technique mein keywords long tail target karte ha jin ka search volume 100 to 200 ho lakin Double Collon 99 say kam ho. 

Is kay alawa mein ek technique KGR method ko use karte ho agar mein nay keyword research karni ho affiliate blog kay leya. KGR ka matlab ha Keyword Golden ratio. Is technique mein search volume to 0 to 250 rakhty ha or allintitle ko find kar kay. 

Ek formula lagata ha agar result less then 0.25 aye to ap is keyword par buhat easily rank kar sakta ha. 

Conclusion 

Mujy umeed ha kay ap ko samjh a gai ho ge kay keyword research ha kea. Or ap kaisa keyword research kar sakta ho, agar ap nay detail mein parna ha kay kon say keyword research kaisa karte ha or ek winning keyword kaisa nikalte ha. To ap ko mere blog par article mil jaye ga.

Or us kay alwa mere youtube channel ( Digitalhamza ) par ap ko buhat sari videos mil jaye ge keyword research kay uper. 

Yaha ap ko mein ek tip day daita ho jo ap kay buhat kam aye ge agar ap nay apni website say paisa kamana ha. Or wo ya kay agar ap ki website new ha to ap koshish karo kay long tail keywords ko target karo. 

Or us kay sath ap topical authority build karo. Jis say ap kay articles buhat jaldi rank kare gay. 

Mein be is method ko use kar kay apni site ko rank karta ho. Ab is article ko wrap up karte ha mujy umeed ha kay apko ya article passand aya ho ga. Or ap ko apny question keyword research kya hota hai ka answer mil gya ho ga. 

Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digtal Hamza 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top