Agar ap nay apny blog ko buhat jaldi rank karwana ha. To kgr technique ap ki help kar sakti ha keywords rank karwane mein. Is leya ap ko mein in article mein batu ga kgr technique kya hai or ap kaisa is technique ko use karo gay.

Jaisa kay ap ko pata ha kay keywords seo ki foundation ha agar ap seo expert ho. Is leya har blogger buhat ziada techniques ko use karta ha keyword research kay.
In sab, mein say ek technique ha KGR jis ki madad say ap ko wo keywords miltay ha. Jin ka search volume be hota ha lakin competition buhat ziada kam hota ha.
Lakin agar ap ko nahi pata keywords ha kea. To mein nay us par already likha ha article, WO ap par sakta ho. Ab start karte ha kay kaisa ya technique ap kay kam aye ge. Lakin us say pehle ap ko batata ho ya technique ha kya.
KGR technique kya hai
KGR ka matlab Keyword Golden Ratio. Is technique mein keywords wo nikaly jaty ha jo ya to new market mein aty ha. Ya un par competition buhat kam hota ha.
Mein is technique 2 saal say use kar raha ho is technique ko Doug Cunnington nay banya tha. Mein ap ko highly recommends karta ho ya technique.
Or agar ap especially beginner ho to is technique ko must use karo. Keu kay is say ap ko ek to insital traffic mile ga. Balkay ap ki site sandbox effect ko be beat kar day ge. AB mein ap ko batata ho kay is technique ko ap use kaisa karo gay.
KGR technique Kaisa use kare
Is technique ki sab say bar shart ya ha kay ap nay jo be keyword select karna ha. Us ka search volume 250 say kam ho. Keu agar ap itna rakhty ho search volume to ap ko achy keywords.

Lakin agar ap beginner ha to mein ko suggest karo kay shuro kay articles. Jo be ap likho gay un kay keywords ka search volume 10 say 50 tak rakhna.
Ap ko buhat fast result mile gay. KGR Technique ek manual way ha. To is mein ap leya best ha kay ap google ko use karny ko master karo. Sab say pehle ap ek extension [ Keyword Surfer ] use kar lo search volume SERP Page mein deakhny kay leya.
Is kay alawa be buhat sary tools ha jaisa mera favorite free mein Keywords cloud ha. Keu kay is mein free main buhat achy achy keywords mil jaty ha. Or is mein jo long tail or extra long tail keywords ka option ha wo sab say best ha.
Us kay bad google.com ko open kar kay ap apna seed keyword add karo. Jaisa is article mein example kay toor par “Blogging” seed keyword lo ga.
Seed keyword hota ha jis kay around ap article likhna chahty ho. Lakin us mein ap narrow down karte ho.

Jab ap apna seed keyword add karo gay to ap ko is tarah kay keyword suggestions aye gay.
Us kay bad ap kay pass buhat sare options ha keywords find kare kay google ko use kar kay.
Pehla Tarika
Jo keyword ap nay search kea wo ap ka seed keyword ho ya short tail ho. Jaisa mera keyword ha “keywords for blog”. Ab jab mein search bar par click karo ga to muje mazeed keyword suggestions show ho gay.

Ab yaha par suggestion ko change karny kay leya. keyword kay shuru mein ya akhir mein koi be word add karo. Ap ki total suggestion change ho jaye ga.
To yaha par ap bar bar multiple words add karte jow. jaisa [ Best, How, can, I, should, top, cheap ] ya kuch samples ha. Ap jaisa jaisa ya words add kare gay ap ko buhat ziada keywords milay. In words kay alawa ap alphabets be use kar sakta ho.
Dosra Tarika
Dosra jo way ha wo ha people also ask jo google kay page par ap ko ek section mil jaye ga.

Yaha par ap ko starting mein 4 ya 5 keywords he show ho gay. Lakin jab ap in ko open kar kay close karo gay to ap ko or be buhat ziada keywords mile gay.
Or yaha say ap ko Informational keywords [ jin keywords ka intent information dayna hota ha ] mile gay. Ap ki site agar affiliate ki ha ya product review kay related ha.
To ap ko mein yaha par recommend karta ho kay informational keywords ko target karo. Keu kay informational content google ziada passand karta ha.
Thisra Tarika
Last tarika ha jo ap ko last mein additional keywords nazar atye ha ap un ko use karo. Jaisa jaisa ap keyword search karo hay niche wale suggestions change hoti jaty ha. Ap woha say keyword utha sakta ha.

Ya teen tarika ha google ko use kar kay keywords nikalyny kay. Or jo be keyword ap find karo gay us ka search volume keyword surfer ap ko batata day ga.
KGR Keywords kaisa Pick Kare
Ap nay keywords wo uthany ha jin ka search volume 250 say kam ho. Jaisa mein nay ek keyword ithya ha “best keywords for youtube channel” jis ka search volume 70 ha.
Ab jab keyword ap ko mil jaye to ap nay keyword kay start mein [allintitle] likhna ha. Is say ap kay samne wo websites ha jino nay exect is keyword ko title mein use kea ha.

Or keyword ko title mein use karne ka matlab hota ha exect keyword to target karna. Ab jo ap ko result show ho wo is ka allintitle ha. Or allintitle 100% sahi deakhny kay leya last wale page par chaly jana.

Jaisa mere keyword [ best keywords for youtube channel ] ka allintitle 14 ha. Ab ap nay is sab ko ek sheet mein add karna ha. Jis ka link mein nay add kar deya ha.

Jab ap yaha par keyword, search volume or allintitle likho gay. To ap ko ek KGR Mile ga agar ya ratio 0.25 say kam howa to ap ka keyword perfect ha. Ap is ko use kar sakta ho. Lakin agar is say ziada howa to keyword ko ap easily rank nahi karwa saktay.
Is technique ko agar ap nay sahi tarah say use kar leya to ap ka article. Jaisa he index ho ga kisi na kisi position par rank kar jaye ga. Meri ek site thi jis ka ek keyword KGR ki madad say nikal kar article likha tha. Or wo article within 2 say first position par rank kar gya tha.
Keu Low search volume Target Kare
Low search volume wale keywords 70 % chances hotay ha new hotay ha market mein. Wo mostly long tail keywords he hotay ha jin ka search volume kam hota ha.

Or buhat rarely chances hotay ha key koi be buhat bari website long tail keyword ko target kare. Is leya as a newbie hamary pass edge hota ha website ko rank karwane ka in keywords par.
Or sirf rank nahi ap in keywords ko use kar kay apni website ko sandbox say he bahir nikal saktay ho. Keu kay jin keywords ka allintitle kam hota ha. Us ka matlab ha kay google kay pass is keyword kay leya content buhat kam ha.
Is leya woha par ap ki space ban jati ha website ko rank karwane ki.
Or yaha par ap ko mein ek tip day daita ho kay agar website ko jaldi rank karwana ha. To topical authority build karo website.
Conclusion
Start mein ap ko muskil aye ge is keyword technique ko master karne mein. Lakin ap is ko bar bar practice karo or keyword research ki skill ko master karo. Keu kay jitni ap ki keyword research skill achi ho gi utni jaldi ap ko keywords mily gay.
Site jab ap new banow to ap 10 – 50 search volume wale keywords target karna. Jab ap ki website rank karna start kare to phir ahista ahista jida search volume wale keywords target karna.
Or keywords long tail Honay ki waja say ap ki website ki authority increase honay say. Ap ki website multiple keywords par be rank karna start kar de gi.
Jis say ap ki website ahista ahista traffic gain karna start kary ge.
Ya ha article mein umeed karta ho kay ko ap smajh a gi ho gi KGR technique kya hai. Or is technique ko kaisa use karna ha.
Ab mein ap say ijazat chahta ho
Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza