Lsi keywords ap kay website kay mein keyword kay related ya alternative keywords hotay ha. Agar ap kay article mein LSI keywords ho gay to google easily ap ka content smajh jata ha. Is leya is article mein ap kay sath share karo ga LSI Keywords kya hai or is ko use kaisa kare.

Apne content ko rank karwane mein sab say zaroori cheez keywords ha. Or ap jitna ziada content mein information cover kare gay.
Wo article utny ziada keywords par rank kare ga. Is leya ap ko keyword research kay doran apny main keyword kay related LSI keywords find karne chahay.
LSI Keywords kya hai
Jaisa kay mein nay pehle he batya ha kay lsi keywords hota ha ap kay main keyword kay alternative version hotay ha. For example ap ek article likh rahy ho “Best smartphone” par.
To is topic kay related LSI keywords ho gay. Best mobile, Android phone, Iphone, and many more. Basically, LSI keywords ko use kea jata ha google ko smajhnae kay leya kay hamara topic ki bary mein ha.
Google Related to LSI
Google nay kabi be official nahi kaha kay Google apny algorithm mei lsi ko use karta ha. Keu kay LSI ko use kar kay google ko manuiplate karna buhat easy ha. Is leya google mein lsi kay concept pehle he khatam ho chuka ha.
Basically, agar google nay apny algorithm kay bary mein bata deya kay kaisa google kam karta hai. To buhat sary black hat seo expert google ko manipulate kary gay ranking kay leya. Keu kay har koi cahta ha earning karna. IS leya jaha white hat expert ha.
Woha ap ko black hat seo experts be mile gay. LSI ko basically ap aisa smajh sakta ho kay LSI simple Keyword desity ratio ha. jis mein hota kea tha kay google ka algorithm article mein bar bar use hony wale keywords ko deakh kar judge karta tha kay article kis bary mein ha.
Is leya buhat sary logo nay keyword desity ko use kar kay apny articles ko rank karwana shuru kar deya. Is leya jaisa he google nay ya cheez deakhy google nay is cheez ko khatam kar deya.
Lakin ajj be buhat sary log kahta ha kay articles mein LSI keywords ko use karna chahe. Or buhat sary log ya be kahta ha keyword density matter karti ha.
LSI ko use karna chahy
Mere hisab say LSI ko use kana chahy apny article mein . Or ap ko mein yaha par kuch cheezay bata deta ho content writing kay bary mein. Dekho jab baat aye ge na website / blog ko google par rank karne ke.
To ap kabi be 100% accurate nahi ho sakta. Keu kay google buhat sari time to time updates lay kar ata rehta ha. Jis mein google ka algorithm upgrade hota rehta ha. Is leya jab be ap ko lage ga kay ap google ko smajh gay. Google koi new cheez lay aye ga.
Is leya ap ko apny ap ko be upgrade karna pary ga or seakhna pary ga kay google kea kar raha ha.
Ap ko kea karna chahy
Jab baat karte ha 2023 mein article writing ki to buhat kuch change ho chuka ha.
Sab say pehele cheez jab be ap nay content likhna ha to koshish karo apny content ko organic rakho. Jo buhat sary log nahi karte. Keu kay mere hisab say google ap kay page ko ab sirf keyword kay base par nahi smajhta. Google ap kay page ko scan karta ha. Us kay baad related word ki base par decide karta ha kay ap ka content ha kis bary main.
Lets suppose ap nay article likha ha “Gaming pc” kay upar. To google sirf ya nahi deakhy ga kay ap kay title, description ya meta mein keyword ha ya nahi. Google is kay alawa ap ka pora article scan kare ga or is topic kay related other words find kare ga. Like processors, Ram, Graphic cards, gaming pc fans, case and many more.
Ya sary words gaming pc kay related he hai. To google smajh jaye ga kay ya article kis bary main. Is kay alawa ap bila waja apny content ko long na karo. Keu kay google ko pata ha kay kis keyword par kitna content chahy. Is leya koshish karo kay apny keyword ka intent pora karo.
Conclusion
Mein ummed karta ho kay ap ko smajh a gai ho ge kay LSI keywords kya hai. Or kea is ko use karna chahy, Meri last tip ap kay bary mein ya ha kay kabi be seo ko learn karna nahi chorna. Keu kay jaha ap nay apni education chori ap wohi stuck ho jow gay.
Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza