Topical authority kya hai agar ap kay mind mein be yahi question ha. To is article mein ap ko main batu ga kay topical authority ha kya. Or topical authority ka faida kea ha.

Agar ap ki website new ha, To meri recommendation ha apni website ki topical authority par focus karo. Keu kay new website ko fast rank karwa sakta ho topical authority ki madad say.
Ajj mein ap ko apny ek blog ka proof be don ga jo sirf topical authority say rank kea ha.
Or ap ko mein detail mein batu ga. kay ap apni new website kay leya topical authority kaisa build kar sakta ho.
Topical authority kya hai
Topical authority ap ki website ki credibility ha jis ko ap build karte ha. Jab ap ek he topic kay related multiple blogs likhty ha. Tab ap ki website ko topical authority milti ha.
Isi leya ap nay kafi experts say suna ho ga kay micro niche website jaldi rank karti ha. Keu kay mostly micro niche website ek he topic par multiple articles likhty ha. Is leya jab google deakhta ha kay is website nay har cheez ko cover kea ha ek he topic kay related.
To google ap ki topical authority increase karta ha. Lakin topical authority kay sath sath ap nay E.E.A.T par be focus karna ha.
E.E.A.T ( Experience, Expertise, Authortness, Trustworthiness ). Simple alwaz mein ya ha kay blog kay alawa ap nay har social media par be content to generate karna ha. Or khud ko ek topic ka expert show karna ha google ko. Keu kay jab har social media par ap kay bary mein or ap ki site kay bary mein baat ho gi.
To google easily ap par trust kare ga. Or specially E.E.A.T or topical authority ap ko YMYR [ Your money your risk ] wali niches mein buhat help karti ha.
Topical authority kaisa build kare
Topical authority build karny kay buhat ziada methods ha. Lakin ap kay sath mein wo method share karo ga jis say mera blog rank kea tha. Topical authority mein ap multiple blogs create karte ho apny main keyword ko rank karwany kay leya.

For example, agar mein chahta ho kay mein “Make money online” keyword par rank karo. To mein kea karo ga sab say pehle is article ko detailed mein cover karo ha. Har information is keyword kay related add karo ga apny article mein.
Us kay bad jab wo publish ho jaye ga to mein multiple article likho ga is article kay related. How to Make money online from Facebook, How to make money from freelancing. Or is jaisa buhat ziada article likho ga.
Or in sab articles mein apny main article, ko internal link don ga.
Ya technique main nay use kea ha or ap ko mein yahi recommend karta ho. Ya sirf ek example tha lakin ap nay karna kea ha apny main article kay related jo be articles likho gay.
Us par keyword research mix karna or har competition wale keywords uthana. Jaisa kuch keywords jin ka search volume 1000 ho kuch ka 500 or kuch ka 100. Lakin sab keywords ap kay mein keyword kay related ho.
Basic SEO karo
Article likhny say pehle ap nay us ki keyword research karni ha. Keu kay keyword research seo mein sab say important part ha. Is leya topical authority be effectively tab he kam kare ge jab ap nay keyword research sahi ke ho.
Agar ap ko nahi pata keyword research kea ha to mein nay is par ek article likha ha.
Must read: Keyword research kya ha
Keyword research kay bad ap nay articles likhny ha. Ab articles mein ap nay proper seo karni ha jis mein proper meta add ho. Keyword placement achi ho proper internal and external linking ho.
Jab ap kay articles publish ho jaye to us ka wait karo google mein index honay kay. Us kay bad ap nay us articles mein say har ek par backlinks banany ha.
Lakin supporting articles par ziada backlinks na banana. Apny main article par sab say ziada backlinks banana. Or keyword research ki ap ko mein ek tip day do. Agar ap nay is ko follow kea to ap ka blog without backlinks rank kare ga.
Tip ya ha kay at least 5 keywords wo nikalna jis ka double collon less than 99 ho. Or allintitle zero ho, keu kay in jaisa keywords ka matlab hota ha kay google kay pass in keywords ka data kam ha. Is kay leya ap KGR technique use kar sakta ho. Or jab ap is par article likhty ho to google kay pass or koi option nahi hota. Google ap ko rank karta ha.
Lakin ap ka content quality ka ho, Tab ap rank karo gay. Mein definitely sure ho kay in 5 mein say ek na ek rank kare ga first position par. Lakin sharat ya ha kay ap kay ya keywords mein keyword kay related ho.
Topical authority case study
Ab ap kay sath mein apni ek website ki case study share karta ho. Lakin us website ka name ap kay sath share nahi ho ga. Is blog ko banye ho 1 saal ho gya or sab say maze ki baat ya blog 1 month mein he rank kar gya tha. Sirf base on topical authority.

Is image mein ap ko is blog ka DA, PA show ho raha ha. DA 4 or PA 15, Maze ke baat ya ha kay ajj tak is website par mein nay ek be backlink nahi banya ek saal mein. Ab mein ap ko is ki traffic show karwata ho.

Ya is website ki traffic ha abi tak total 96k impressions a chukay ha. Jis say ap ko ya pata chal gya ho ga kay is kay kafi keywords rank kar rahy ho gay. Is blog mein total 30 articles ha. Lakin ya sary articles ek he topic kay related ha.
Yahi blog mera 1-month mein rank kea tha or sandbox effect ko beat kar gya tha. Is mein main nay I month mein 6 article likhy thay jin mein har ek kay keyword ka search volume 10-50 tha. Lakin in sab keywords ka allintitle 0 tha.
Start Making content on Social media
Website kay sath sath ap social media par content banana start kar day. Apni niche kay related, Mujy 6 saal ho gay ha online industry mein. Or meri sab say strong skill seo ha. Is leya mary har social media par ap ko seo, blogging or article writing kay related content milay ga.
To agar ap nay online industry mein long term survive karna ha. To ap ko apni personal branding par focus karna pary ga. Or apna ek online personal brand build karna pary ga.
Jaisa 2020 mein main nay apna brand digitalhamza shuru kea tha. Isi name say ap ko har social media par mery accounts mily gay. Jaha par mein content create karta ho.
Youtube par mere 1000 subs ha, Tiktok par is time mere 3500 followers ha. Mein regular 2020 say social media par content create kar raha ho.
Jis ka faida ya howa ha kay google mein mere brand kay related kafi information ha. Or jab koi be “digitalhamza” search karta ha. To first-page par mery he social media pages aty ha. Jin say ahista ahista mery brand ki authority build ho gi. Or digital hamza kay blogs ko ranking mein boost mily ga.
Conclusion
Topical authority, E.E.A.T ko agar ap sahi tarah use kary to ap ka blog first month mein rank ho sakta ha. Jaisa kay mere ab almost sary blogs he rank karte ha ek month mein. Ap ko mere social media par videos mil jaye ge.
Yahi techniques mein be use karta ho, Or agar ap is ko sahi tarah use karo gay to ap kay articles ba rank kary gay. Mein umeed karta ho kay ap ko clear howa ho ga kay Topical authority kya hai.
Mujy ab ijazat day mily gay apny new article mein.
Thanks for reading
Regards,
Hamza Asghar AKA Digital Hamza